kah ke qissa khatm kar de pyaar ka | कह के क़िस्सा ख़त्म कर दे प्यार का

  - Shajar Abbas

kah ke qissa khatm kar de pyaar ka
dil nahin karta tire deedaar ka

phool girte hain chaman mein shaakh se
sheerin lahja sun ke mere yaar ka

jab sawaal-e-bai'at-e-fasiq hua
lafz nikla munh se bas inkaar ka

koii nai aaya yahan par poochne
haal haaye muflis-o-beemar ka

ye haqeeqat hai qasam se doston
ishq mein apna maza hai haar ka

ek din jhunjhla ke vo kehne laga
kya karoon maslak kii is deewaar ka

tazkira yaaron mein hai shaam-o-sehar
aapke til waale is rukhsaar ka

gul sa naazuk tha jo murshad kal talak
roop usne le liya hai khaar ka

kaam leta hai nigah-e-mast se
dekhiye vo shakhs ab talwaar ka

haq bayaani ab nahin karna koii
hukm aaya hai abhi sarkaar ka

ai shajar dekho faraaz-e-daar par
dabdaba hai meesam-e-tammaar ka

कह के क़िस्सा ख़त्म कर दे प्यार का
दिल नहीं करता तिरे दीदार का

फूल गिरते हैं चमन में शाख़ से
शीरीं लहजा सुन के मेरे यार का

जब सवाल-ए-बैअत-ए-फासिक़ हुआ
लफ़्ज़ निकला मुँह से बस इनकार का

कोई नईं आया यहाँ पर पूछने
हाल हाए मुफ़लिस-ओ-बीमार का

ये हक़ीक़त है क़सम से दोस्तों
इश्क़ में अपना मज़ा है हार का

एक दिन झुँझला के वो कहने लगा
क्या करूँ मसलक की इस दीवार का

तज़किरा यारों में है शाम-ओ-सहर
आपके तिल वाले इस रुख़सार का

गुल सा नाज़ुक था जो मुर्शद कल तलक
रूप उसने ले लिया है ख़ार का

काम लेता है निगाह-ए-मस्त से
देखिए वो शख़्स अब तलवार का

हक़ बयानी अब नहीं करना कोई
हुक्म आया है अभी सरकार का

ऐ शजर देखो फ़राज़-ए-दार पर
दबदबा है मीसम-ए-तम्मार का

  - Shajar Abbas

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari