koi mazloom pe jab zulm-o-sitam dhaata hai | कोई मज़लूम पे जब ज़ुल्म-ओ-सितम ढाता है - Shajar Abbas

koi mazloom pe jab zulm-o-sitam dhaata hai
kaanp uthati hai zameen aasmaan tharrataa hai

gul agar shaakh-e-shajar par koi murjhata hai
titliyan roti hain aur baagbaan gham khaata hai

dekhkar hazrat-e-dil is tarah ghamgeen tumhein
khudkushi karne ka bas man mein khayal aata hai

tumne jaate hue chooma tha jo gul kaaghaz ka
aaj tak kamre ko vo gul mere mehkaata hai

sab haqeeqat hai jo yaaron se suna hai maine
naam sunkar vo mera aaj bhi sharmaata hai

pehle padhta tha mohabbat ke qaside vo jawaan
aur ab lafz-e-mohabbat bhi ghabraata hai

ai khuda is dil-e-naadaan ko sambhaaloon kaise
husn ko dekh ke paagal ye machal jaata hai

main khayaalon mein teri aankhon ke kho jaata hoon
jaam jab saaqi kabhi saamne chhalakaata hai

neki karne pe zamaane mein badi milti hai
apni neki ka kahaan koi sila paata hai

shiddat-e-dard se vo cheekhne lagta hai shajar
gar koi neza mere seene se takraata hai

bin tere deed ke machhli si tadapati hain shajar
deed karke tira aankhon ko sukoon aata hai

कोई मज़लूम पे जब ज़ुल्म-ओ-सितम ढाता है
काँप उठती है ज़मीं आसमाँ थर्राता है

गुल अगर शाख़-ए-शजर पर कोई मुरझाता है
तितलियाँ रोती हैं और बाग़बाँ ग़म खाता है

देखकर हज़रत-ए-दिल इस तरह ग़मगीन तुम्हें
ख़ुदकुशी करने का बस मन में ख़याल आता है

तुमने जाते हुए चूमा था जो गुल काग़ज़ का
आज तक कमरे को वो गुल मेरे महकाता है

सब हक़ीक़त है जो यारों से सुना है मैंने
नाम सुनकर वो मेरा आज भी शरमाता है

पहले पढ़ता था मोहब्बत के क़सीदे वो जवाँ
और अब लफ़्ज़-ए-मोहब्बत भी घबराता है

ऐ ख़ुदा इस दिल-ए-नादाँ को सँभालूँ कैसे
हुस्न को देख के पागल ये मचल जाता है

मैं ख़यालों में तेरी आँखों के खो जाता हूँ
जाम जब साक़ी कभी सामने छलकाता है

नेकी करने पे ज़माने में बदी मिलती है
अपनी नेकी का कहाँ कोई सिला पाता है

शिद्दत-ए-दर्द से वो चीख़ने लगता है शजर
गर कोई नेज़ा मेरे सीने से टकराता है

बिन तेरे दीद के मछली सी तड़पती हैं शजर
दीद करके तिरा आँखों को सुकूँ आता है

- Shajar Abbas
2 Likes

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari