tere khayaalon ke jungle ko phir sajaaoonga | तेरे ख़यालों के जंगल को फिर सजाऊँगा

  - ALI ZUHRI

tere khayaalon ke jungle ko phir sajaaoonga
dobaara ishq mein qismat ko aazmaaunga

dikha chuka hoon inhen tere husn kii rangat
ab is se achha in aankhon ko kya dikhaaunga

hateliyon kii lakeeren banaoonga behtar
magar jabeen ko shikan se nahin sajaaoonga

khuda ne gar kabhi banvaaya mujhse aadmi ko
to uske seene mein main dil nahin banaoonga

mujhe bhi dekhni hai intizaar kii aankhen
palat ke aaya bhi to der se hi aaunga

tamaam duniya manaae mohabbaton ke din
main hijr-zaad hoon bas hijr hi manaaunga

jo roz ek hi chehra udaas dikhta hai
main ghar mein rakhe sabhi aaine hataaoonga

bichhadte waqt yahi dukh sata raha tha mujhe
main tere qurb ke mausam kahaan se laaunga

maheenon baad mujhe usse milne jaana hai
maheenon baad hi ab baal bhi banaoonga

mujhe bhula ke vo aage nikal chuka hai aur
main soch mein hoon ki kaise use bhulaoonga

mujhe diya bhi hai rab ne sukhan-vari ka hunar
ba-roz-e-hashr main rab ko ghazal sunaaunga

तेरे ख़यालों के जंगल को फिर सजाऊँगा
दुबारा इश्क़ में क़िस्मत को आज़माऊँगा

दिखा चुका हूँ इन्हें तेरे हुस्न की रंगत
अब इस से अच्छा इन आँखों को क्या दिखाऊँगा

हथेलियों की लकीरें बनाऊँगा बेहतर
मगर जबीं को शिकन से नहीं सजाऊँगा

ख़ुदा ने गर कभी बनवाया मुझसे आदमी को
तो उसके सीने में मैं दिल नहीं बनाऊँगा

मुझे भी देखनी है इंतिज़ार की आँखें
पलट के आया भी तो देर से ही आऊँगा

तमाम दुनिया मनाए मुहब्बतों के दिन
मैं हिज्र-ज़ाद हूँ बस हिज्र ही मनाऊँगा

जो रोज़ एक ही चेहरा उदास दिखता है
मैं घर में रक्खे सभी आईने हटाऊँगा

बिछड़ते वक़्त यही दुख सता रहा था मुझे
मैं तेरे क़ुर्ब के मौसम कहाँ से लाऊँगा

महीनों बाद मुझे उससे मिलने जाना है
महीनों बाद ही अब बाल भी बनाऊँगा

मुझे भुला के वो आगे निकल चुका है और
मैं सोच में हूँ कि कैसे उसे भुलाऊँगा

मुझे दिया भी है रब ने सुख़न-वरी का हुनर
ब-रोज़-ए-हश्र मैं रब को ग़ज़ल सुनाऊँगा

  - ALI ZUHRI

More by ALI ZUHRI

As you were reading Shayari by ALI ZUHRI

Similar Writers

our suggestion based on ALI ZUHRI

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari