baar hi baar mere dil ne jasaarat ki hai
baad tere bhi jo tujhse hi mohabbat ki hai
koshishein karta raha tujhko bhulaane ki magar
isee uljhan mein teri aur bhi chaahat ki hai
mujhko aadam ne sikhaayen hain adab hawwa ke
is wajah se teri nadaani ki izzat ki hai
chalo duniya to kisi taur se duniya thi magar
kuchh khuda ne bhi mere saath sharaarat ki hai
jin farishton ko bithaaya tha sada kaandho par
un farishton ne sar ae hashr shikaayat ki hai
har kisi ko hai mere haal se shikwa zuhri
kis qadar meri jawaani ki faziihat ki hai
बार ही बार मेरे दिल ने जसारत की है
बाद तेरे भी जो तुझसे ही मोहब्बत की है
कोशिशें करता रहा तुझको भुलाने की मगर
इसी उलझन में तेरी और भी चाहत की है
मुझको आदम ने सिखाएं हैं अदब हव्वा के
इस वजह से तेरी नादानी की इज़्ज़त की है
चलो दुनिया तो किसी तौर से दुनिया थी मगर
कुछ ख़ुदा ने भी मेरे साथ शरारत की है
जिन फ़रिश्तों को बिठाया था सदा काँधो पर
उन फ़रिश्तों ने सर ए हश्र शिकायत की है
हर किसी को है मेरे हाल से शिकवा ज़ुहरी
किस क़दर मेरी जवानी की फ़ज़ीहत की है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by ALI ZUHRI
our suggestion based on ALI ZUHRI
As you were reading Chaahat Shayari Shayari