bichhad ke hamse na jaane kidhar gaya hoga | बिछड़ के हमसे न जाने किधर गया होगा

  - ALI ZUHRI

bichhad ke hamse na jaane kidhar gaya hoga
vo ret banke kahi par bikhar gaya hoga

vo chaand pe jo nazar aati hai khun ki laali
kisi ka ishq hadon se guzar gaya hoga

laga ke aag sabhi husn-aafreeno ko
tumhaare shehar ka mausam sudhar gaya hoga

jagah jagah jo mohabbat ka raag gaata tha
vo shakhs waqt se pehle hi mar gaya hoga

jise kabhi jaan se zyaada azeez lagte the ham
ab us ke dil mein koi aur utar gaya hoga

nishaan jo ishq ka gardan pe chhodta tha vo
badan ko choomne se kya nikhar gaya hoga

humeen the jo chale jaate the unke kooche mein
hamaare baad na koi udhar gaya hoga

kuchh isliye bhi haan majnoon ko maare the patthar
zamaana ishq ki jurrat se dar gaya hoga

mere siva kisi ko chahti rahi ho tum
ye dil jawaani mein nadaani kar gaya hoga

बिछड़ के हमसे न जाने किधर गया होगा
वो रेत बनके कहीं पर बिखर गया होगा

वो चाँद पे जो नज़र आती है ख़ूँ की लाली
किसी का इश्क़ हदों से गुज़र गया होगा

लगा के आग सभी हुस्न-आफ़रीनों को
तुम्हारे शहर का मौसम सुधर गया होगा

जगह जगह जो मोहब्बत का राग गाता था
वो शख़्स वक़्त से पहले ही मर गया होगा

जिसे कभी जाँ से ज़्यादा अज़ीज़ लगते थे हम
अब उस के दिल में कोई और उतर गया होगा

निशाँ जो इश्क़ का गर्दन पे छोड़ता था वो
बदन को चूमने से क्या निखर गया होगा

हमीं थे जो चले जाते थे उनके कूचे में
हमारे बाद न कोई उधर गया होगा

कुछ इसलिए भी हाँ मजनूँ को मारे थे पत्थर
ज़माना इश्क़ की जुर्रत से डर गया होगा

मेरे सिवा किसी को चाहती रही हो तुम
ये दिल जवानी में नादानी कर गया होगा

  - ALI ZUHRI

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by ALI ZUHRI

As you were reading Shayari by ALI ZUHRI

Similar Writers

our suggestion based on ALI ZUHRI

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari