tere liye chale the ham tere liye thehar gaye | तेरे लिए चले थे हम तेरे लिए ठहर गए

  - Adeem Hashmi

tere liye chale the ham tere liye thehar gaye
tu ne kaha to jee uthe tu ne kaha to mar gaye

kat hi gai judaai bhi kab ye hua ki mar gaye
tere bhi din guzar gaye mere bhi din guzar gaye

tu bhi kuchh aur aur hai ham bhi kuchh aur aur hain
jaane vo tu kidhar gaya jaane vo ham kidhar gaye

raahon mein hi mile the ham raahen naseeb ban gaeein
vo bhi na apne ghar gaya ham bhi na apne ghar gaye

waqt hi judaai ka itna taveel ho gaya
dil mein tire visaal ke jitne the zakhm bhar gaye

hota raha muqaabla paani ka aur pyaas ka
sehra umad umad pade dariya bifar bifar gaye

vo bhi ghubaar-e-khwaab tha ham bhi ghubaar-e-khwaab the
vo bhi kahin bikhar gaya ham bhi kahin bikhar gaye

koii kanaar-e-aabjoo baitha hua hai sar-nigoon
kashti kidhar chali gai jaane kidhar bhanwar gaye

aaj bhi intizaar ka waqt hunoot ho gaya
aisa laga ki hashr tak saare hi pal thehar gaye

barish-e-wasl vo hui saara ghubaar dhul gaya
vo bhi nikhar nikhar gaya ham bhi nikhar nikhar gaye

aab-e-muheet-e-ishq ka bahar ajeeb bahar hai
taire to ghark ho gaye doobe to paar kar gaye

itne qareeb ho gaye apne raqeeb ho gaye
vo bhi adeem dar gaya ham bhi adeem dar gaye

us ke sulook par adeem apni hayaat-o-maut hai
vo jo mila to jee uthe vo na mila to mar gaye

तेरे लिए चले थे हम तेरे लिए ठहर गए
तू ने कहा तो जी उठे तू ने कहा तो मर गए

कट ही गई जुदाई भी कब ये हुआ कि मर गए
तेरे भी दिन गुज़र गए मेरे भी दिन गुज़र गए

तू भी कुछ और और है हम भी कुछ और और हैं
जाने वो तू किधर गया जाने वो हम किधर गए

राहों में ही मिले थे हम राहें नसीब बन गईं
वो भी न अपने घर गया हम भी न अपने घर गए

वक़्त ही जुदाई का इतना तवील हो गया
दिल में तिरे विसाल के जितने थे ज़ख़्म भर गए

होता रहा मुक़ाबला पानी का और प्यास का
सहरा उमड उमड पड़े दरिया बिफर बिफर गए

वो भी ग़ुबार-ए-ख़्वाब था हम भी ग़ुबार-ए-ख़्वाब थे
वो भी कहीं बिखर गया हम भी कहीं बिखर गए

कोई कनार-ए-आबजू बैठा हुआ है सर-निगूँ
कश्ती किधर चली गई जाने किधर भँवर गए

आज भी इंतिज़ार का वक़्त हुनूत हो गया
ऐसा लगा कि हश्र तक सारे ही पल ठहर गए

बारिश-ए-वस्ल वो हुई सारा ग़ुबार धुल गया
वो भी निखर निखर गया हम भी निखर निखर गए

आब-ए-मुहीत-ए-इश्क़ का बहर अजीब बहर है
तैरे तो ग़र्क़ हो गए डूबे तो पार कर गए

इतने क़रीब हो गए अपने रक़ीब हो गए
वो भी 'अदीम' डर गया हम भी 'अदीम' डर गए

उस के सुलूक पर 'अदीम' अपनी हयात-ओ-मौत है
वो जो मिला तो जी उठे वो न मिला तो मर गए

  - Adeem Hashmi

More by Adeem Hashmi

As you were reading Shayari by Adeem Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Adeem Hashmi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari