aap par etibaar mushkil hai
is liye intizaar mushkil hai
na paro is tarah ke khelon mein
ishq mein rozgaar mushkil hai
dhundhna chhod de jahaan mein tu
mere sa ghamgusaar mushkil hai
jo mujhe dekha bhi nahin karti
use aur mujh se pyaar mushkil hai
use mujh se milaana tere liye
kya ye parvardigaar mushkil hai
mat kaha kar use bhulaane ko
nahin kar saktaa yaar mushkil hai
tujh se milna kisi kii shaadi mein
zaalima agli baar mushkil hai
ho jahaan bas haseen chehre wahaan
wafa ka kaarobaar mushkil hai
jo mohabbat mein maangata hai wafa
us se kehna ke yaar mushkil hai
आप पर ए'तिबार मुश्किल है
इस लिए इंतिज़ार मुश्किल है
न पड़ो इस तरह के खेलों में
इश्क़ में रोज़गार मुश्किल है
ढूँढ़ना छोड़ दे जहांँ में तू
मेरे सा ग़म-गुसार मुश्किल है
जो मुझे देखा भी नहीं करती
उसे ? और मुझ से ? प्यार ? मुश्किल है
उसे मुझ से मिलाना तेरे लिए
क्या ये परवरदिगार मुश्किल है ?
मत कहा कर उसे भुलाने को
नहीं कर सकता यार मुश्किल है
तुझ से मिलना किसी की शादी में
ज़ालिमा अगली बार मुश्किल है
हो जहाँ बस हसीन चेहरे वहांँ
वफ़ा का कारोबार मुश्किल है
जो मोहब्बत में माँगता है वफ़ा
उस से कहना के यार मुश्किल है
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad
our suggestion based on Faiz Ahmad
As you were reading undefined Shayari