zindagi bhi vaba lagi hai mujhe
saans lena saza lagi hai mujhe
jiye jaane ka dil nahin karta
ek ladki qaza lagi hai mujhe
kisi ko chain mil raha hai mera
kisi ki chot aa lagi hai mujhe
mujhe tujhse juda kiye dena
us khuda ki khata lagi hai mujhe
dekh kar aaj use kisi ke saath
kisi ki yaad aa lagi hai mujhe
ik tira marz hai jo jaata nahi
go dava to sab aa lagi hai mujhe
ik hi aadat hai maikshi ki mujhe
ek aadat bhi kya lagi hai mujhe
uske nazdeek to vo kuchh bhi nahin
jo muhabbat khuda lagi hai mujhe
meri be-kaari ka sabab mat pooch
kisi ki baddua lagi hai mujhe
jis jagah chhod kar gai thi vo
vo zameen karbala lagi hai mujhe
ज़िंदगी भी वबा लगी है मुझे
साँस लेना सज़ा लगी है मुझे
जिए जाने का दिल नहीं करता
एक लड़की क़ज़ा लगी है मुझे
किसी को चैन मिल रहा है मिरा
किसी की चोट आ लगी है मुझे
मुझे तुझसे जुदा किए देना
उस खु़दा की ख़ता लगी है मुझे
देख कर आज उसे किसी के साथ
किसी की याद आ लगी है मुझे
इक तिरा मर्ज़ है जो जाता नही
गो दवा तो सब आ लगी है मुझे
इक ही आदत है मैकशी की मुझे
एक आदत भी क्या लगी है मुझे
उसके नज़दीक तो वो कुछ भी नहीं
जो मुहब्बत खु़दा लगी है मुझे
मेरी बे-कारी का सबब मत पूछ
किसी की बद्दुआ लगी है मुझे
जिस जगह छोड़ कर गई थी वो
वो ज़मीं करबला लगी है मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad
our suggestion based on Faiz Ahmad
As you were reading Bimari Shayari Shayari