adhuri pyaas
aadat nahin jaati meri
main dekhta hoon tere ghar ko aaj bhi
hai ek aadat mujhmein ab bhi baaki sii
kuchh der takta hoon chale jaata hoon phir
sab poochhte
kya hai bhala dil mein tire
khaamosh aata jaata hai
kyun har dafa tasveer dekha karta hai
vo ja chuki hai phir bhi ye dil maanta
bilkul nahin
kyun chain bhi padta nahin
aakhir karoon to kya karoon
khud se hi baatein karta hoon
vo lams vo lamhe mujhe ab bhi hain yaad
barsaat ka mausam tha aur
tu haath mera thaam ke chalti gai
bin muskuraaye baat karte hi nahin the ham kabhi
phir kaisa mere waqt ne
ye khel rachkar be-sabab
kyun gham diya
ab uljha hi rehta hoon main
resham kii koii dor sa
hai ek aadat jo nahin jaayegi ab
hai ik adhuri pyaas kuchh
aasaani se bujhne nahin waali meri
“अधूरी प्यास”
आदत नहीं जाती मिरी
मैं देखता हूॅं तेरे घर को आज भी
है एक आदत मुझमें अब भी बाक़ी सी
कुछ देर तकता हूॅं चले जाता हूॅं फिर
सब पूछते
क्या है भला दिल में तिरे
ख़ामोश आता जाता है
क्यूँ हर दफ़ा तस्वीर देखा करता है
वो जा चुकी है फिर भी ये दिल मानता
बिल्कुल नहीं
क्यूँ चैन भी पड़ता नहीं
आख़िर करूॅं तो क्या करूॅं
ख़ुद से ही बातें करता हूॅं
वो लम्स वो लम्हें मुझे अब भी हैं याद
बरसात का मौसम था और
तू हाथ मेरा थाम के चलती गई
बिन मुस्कुराए बात करते ही नहीं थे हम कभी
फिर कैसा मेरे वक़्त ने
ये खेल रचकर बे-सबब
क्यूँ ग़म दिया
अब उलझा ही रहता हूॅं मैं
रेशम की कोई डोर सा
है एक आदत जो नहीं जाएगी अब
है इक अधूरी प्यास कुछ
आसानी से बुझने नहीं वाली मिरी
As you were reading Shayari by Anuraag 'Anuj' Pathak
our suggestion based on Anuraag 'Anuj' Pathak
As you were reading undefined Shayari