kar raha hoon main pada aaraam aisa bhi nahin hai | कर रहा हूँ मैं पड़ा आराम ऐसा भी नहीं है

  - A R Sahil "Aleeg"

kar raha hoon main pada aaraam aisa bhi nahin hai
ya mujhe hai aur koii kaam aisa bhi nahin hai

ho agar to aur le aa meri tauba chhod saaqi
haath se chhoota ho mere jaam aisa bhi nahin hai

ham-nafs main bas zara haalaat se uljha hua hoon
ho gaya main ishq mein naakaam aisa bhi nahin hai

ye mujhe kaise khabar ho us ke kaise haal hain ab
usne bheja ho koii paigaam aisa bhi nahin hai

aashiqon ke vaaste jannat to hai bas khwaab jaisi
sach kahoon to ishq ka anjaam aisa bhi nahin hai

chand lamhon ke liye hans to raha hoon main magar dekh
tham gai ho gardish-e-ayyaam aisa bhi nahin hai

teri yaadon se saja loonga har ik kona main dil ka
ho na paaye'ngi haseen ab shaam aisa bhi nahin hai

chal padunga ai qazaa main jaise le jaayegi mujhko
tujhse hoon main talib-e-ikraam aisa bhi nahin hai

bas zara patkengi sar ko aa ke saahil par ye lahren
ye mita daalengi mera naam aisa bhi nahin hai

कर रहा हूँ मैं पड़ा आराम ऐसा भी नहीं है
या मुझे है और कोई काम ऐसा भी नहीं है

हो अगर तो और ले आ मेरी तौबा छोड़ साक़ी
हाथ से छूटा हो मेरे जाम ऐसा भी नहीं है

हम-नफ़स मैं बस ज़रा हालात से उलझा हुआ हूँ
हो गया मैं इश्क़ में नाकाम ऐसा भी नहीं है

ये मुझे कैसे ख़बर हो उस के कैसे हाल हैं अब
उसने भेजा हो कोई पैग़ाम ऐसा भी नहीं है

आशिक़ों के वास्ते जन्नत तो है बस ख़्वाब जैसी
सच कहूँ तो इश्क़ का अंजाम ऐसा भी नहीं है

चंद लम्हों के लिए हँस तो रहा हूँ मैं मगर देख
थम गई हो गर्दिश-ए-अय्याम ऐसा भी नहीं है

तेरी यादों से सजा लूँगा हर इक कोना मैं दिल का
हो न पाएँगी हसीं अब शाम ऐसा भी नहीं है

चल पडूँगा ऐ क़ज़ा मैं जैसे ले जाएगी मुझको
तुझसे हूँ मैं तालिब-ए-इकराम ऐसा भी नहीं है

बस ज़रा पटकेंगी सर को आ के साहिल पर ये लहरें
ये मिटा डालेंगी मेरा नाम ऐसा भी नहीं है

  - A R Sahil "Aleeg"

More by A R Sahil "Aleeg"

As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"

Similar Writers

our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari