husn dar husn phir aazmaane ke baad | हुस्न दर हुस्न फिर आज़माने के बाद

  - A R Sahil "Aleeg"

husn dar husn phir aazmaane ke baad
khoon rona pada dil lagaane ke baad

ahl e-gulshan ke maatam manaane ke baad
aap aaye bhi gul sookh jaane ke baad

in raqeebon mein photo khinchaane ke baad
kya milega tumhein jee jalane ke baad

yun to kehne ko kahte rahein aap kuchh
she'r hota hai koi zamaane ke baad

khaaq mein mil gaye sab ghuroor o gumaan
sirf taare nafs toot jaane ke baad

phir bhi dete hain ham bewafaon ka saath
chot dar chot dil toot jaane ke baad

ho gaya jab muhabbat se sar maarqa
hamne talwaar phenki uthaane ke baad

hamne kuchh bhi khuda se na maanga kabhi
ishq mein aapki haan ko paane ke baad

is qadar mujh pe marti hai pagli koi
rone lagti hai dp hataane ke baad

theen patange kateen aur chaliin bhi gaeein
haath dhaage bache bas udaane ke baad

baad shaadi ke dekhenge phir ham use
rang kaisa hai peehar mein aane ke baad

ishq to dooriyon mein bhi mitaa nahin
roothti hai havas door jaane ke baad

lag ke bahti thi saahil se kal jo nadi
kat gai mujhse saagar mein jaane ke baad

हुस्न दर हुस्न फिर आज़माने के बाद
खून रोना पड़ा दिल लगाने के बाद

अहल- ए-गुलशन के मातम मनाने के बाद
आप आये भी गुल सूख जाने के बाद

इन रक़ीबों में फोटो खिंचाने के बाद
क्या मिलेगा तुम्हें जी जलाने के बाद

यूँ तो कहने को कहते रहें आप कुछ
शे'र होता है कोई ज़माने के बाद

खाक़ में मिल गए सब ग़ुरूर ओ गुमाँ
सिर्फ़ तारे नफ़स टूट जाने के बाद

फिर भी देते हैं हम बेवफ़ाओं का साथ
चोट दर चोट दिल टूट जाने के बाद

हो गया जब मुहब्बत से सर मारक़ा
हमनें तलवार फेंकी उठाने के बाद

हमने कुछ भी ख़ुदा से न माँगा कभी
इश्क़ में आपकी हाँ को पाने के बाद

इस क़दर मुझ पे मरती है पगली कोई
रोने लगती है डीपी हटाने के बाद

थीं पतंगें कटीं और चलीं भी गईं
हाथ धागे बचे बस उड़ाने के बाद

बाद शादी के देखेंगे फिर हम उसे
रंग कैसा है पीहर में आने के बाद

इश्क़ तो दूरियों में भी मिटता नहीं
रूठती है हवस दूर जाने के बाद

लग के बहती थी साहिल से कल जो नदी
कट गई मुझसे सागर में जाने के बाद

  - A R Sahil "Aleeg"

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by A R Sahil "Aleeg"

As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"

Similar Writers

our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari