shabo roz ki chaakri zindagi ki
mayassar hui rotiyaan do ghadi ki
nahin kaam aayein jo ik din masheenein
zaroorat bane aadmi aadmi ki
ki kal shaam fursat mein aayi udaasi
bata di mujhe qeematen har khushi ki
kiya kya aman jee ne baa'is baras mein
kabhi jee liya to kabhi khudkushi ki
gamon ko thikaane lagaate lagaate
ghadi aa gayi aadmi ke ghami ki
ye saari tapasya ka kaaran yahi hai
misaalen banen to banen saadgi ki
शबो रोज़ की चाकरी ज़िन्दगी की
मयस्सर हुईं रोटियाँ दो घड़ी की
नहीं काम आएँ जो इक दिन मशीनें
ज़रूरत बने आदमी आदमी की
कि कल शाम फ़ुरसत में आई उदासी
बता दी मुझे क़ीमतें हर खुशी की
किया क्या अमन जी ने बाइस बरस में
कभी जी लिया तो कभी ख़ुदकुशी की
ग़मों को ठिकाने लगाते लगाते
घड़ी आ गयी आदमी के ग़मी की
ये सारी तपस्या का कारण यही है
मिसालें बनें तो बनें सादगी की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aman G Mishra
our suggestion based on Aman G Mishra
As you were reading Wahshat Shayari Shayari