jab charaagon ko tajalli ka nasha ho jaaye
dil se phir khauf hawaon ka hawa ho jaaye
motabar itna mera dast-e-dua ho jaaye
jo dua maanguun to manzoor-e-khudaa ho jaaye
yaad-e-maazi ke samandar pe dhuaan sa kyun hai
phir kahin dard ka baadal na ghana ho jaaye
baarha aah meri gum ho khalaon mein yun
jyon andheron mein koii saaya fana ho jaaye
ghark kar ke hi rahega ye safeene ka shigaaf
chahe kitni bhi muaafiq ye hawa ho jaaye
maut aayi hai nijaat-e-gham-e-hasti dene
jaan de doon to mera haq bhi ada ho jaaye
is qadar zeest se bezaar hua hoon main bashar
zahar bhi de koii mujhko to dava ho jaaye
जब चराग़ों को तजल्ली का नशा हो जाए
दिल से फिर ख़ौफ़ हवाओं का हवा हो जाए
मोतबर इतना मिरा दस्त-ए-दुआ हो जाए
जो दुआ माँगूँ तो मंज़ूर-ए-ख़ुदा हो जाए
याद-ए-माज़ी के समंदर पे धुआँ सा क्यूँ है
फिर कहीं दर्द का बादल न घना हो जाए
बारहा आह मिरी गुम हो ख़लाओं में यूँ
ज्यों अँधेरों में कोई साया फ़ना हो जाए
ग़र्क़ कर के ही रहेगा ये सफ़ीने का शिगाफ़
चाहे कितनी भी मुआफ़िक़ ये हवा हो जाए
मौत आई है निजात-ए-ग़म-ए-हस्ती देने
जान दे दूँ तो मिरा हक़ भी अदा हो जाए
इस क़दर ज़ीस्त से बेज़ार हुआ हूँ मैं 'बशर'
ज़हर भी दे कोई मुझको तो दवा हो जाए
As you were reading Shayari by Dharmesh bashar
our suggestion based on Dharmesh bashar
As you were reading undefined Shayari