meri nazar ko teri koii justajoo nahin | मेरी नज़र को तेरी कोई जुस्तजू नहीं

  - Dharmesh bashar

meri nazar ko teri koii justajoo nahin
vo kaun sii jagah hai jahaan par ki tu nahin

sab mein hi dekhta hoon tira shirkat-e-wajood
tere jahaan mein koii bhi mera adoo nahin

jaaun main kiske dar pe tire dar ko chhod kar
tujh-sa karam-nawaaz koii chaar-soo nahin

tere sahaare chhod diya apne aap ko
pa loon tujhe to aur koii aarzoo nahin

karta hoon main nadaamat-e-isyaan se dil ko paak
meri namaaz-e-ishq mein qaid--e-wuzoo nahin

ban ke bahaar gulshan-e-hasti mein aa kabhi
tere baghair zindagi mein rang-o-boo nahin

dil kii har ek baat sune ja raha hai tu
zaahir mein tujhse meri koii guftagoo nahin

manzil pe aa gaya hai bashar kaarwaan-e-ishq
ye vo maqaam hai ki jahaan main-o-tu nahin

मेरी नज़र को तेरी कोई जुस्तजू नहीं
वो कौन सी जगह है जहाँ पर कि तू नहीं

सब में ही देखता हूँ तिरा शिर्कत-ए-वजूद
तेरे जहाँ में कोई भी मेरा अदू नहीं

जाऊँ मैं किसके दर पे तिरे दर को छोड़ कर
तुझ-सा करम-नवाज़ कोई चार-सू नहीं

तेरे सहारे छोड़ दिया अपने आप को
पा लूँ तुझे तो और कोई आरज़ू नहीं

करता हूँ मैं नदामत-ए-इस्याँ से दिल को पाक
मेरी नमाज़-ए-इश्क़ में क़ैद-ए-वुज़ू नहीं

बन के बहार गुलशन-ए-हस्ती में आ कभी
तेरे बग़ैर ज़िन्दगी में रंग-ओ-बू नहीं

दिल की हर एक बात सुने जा रहा है तू
ज़ाहिर में तुझसे मेरी कोई गुफ़्तगू नहीं

मंज़िल पे आ गया है 'बशर' कारवान-ए-इश्क़
ये वो मक़ाम है कि जहाँ मैं-ओ-तू नहीं

  - Dharmesh bashar

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari