ye tamasha nahin achha ye tamasha na karo | ये तमाशा नहीं अच्छा ये तमाशा न करो

  - Dharmesh bashar

ye tamasha nahin achha ye tamasha na karo
khud ko har baat pe yun aag baboola na karo

zehan par taari musalsal ye andhera hai aur
ye guzarish bhi ki ab ghar mein ujaala na karo

be-wafa kah ke use shehar mein kar den badnaam
dil ye majboor hai kehta hai ki aisa na karo

gham mein do lafz tasalli ke to kah sakte hain
khair ab aap hamaare liye itna na karo

khauf ruswaai ka gar hai to bhula do mujhko
naam bhi mera na lo zikr bhi mera na karo

teer kheenchoge mere dil se to mar jaaunga
be-niyaazi se mere dard ka chaara na karo

is kaddi dhoop mein hai kaun kisi ka saathi
apne saaye ka bhi is waqt bharosa na karo

hamne to socha hai ab tark-e-tamanna ka bashar
dil kii chaahat hai magar tark-e-tamanna na karo

ये तमाशा नहीं अच्छा ये तमाशा न करो
ख़ुद को हर बात पे यूँ आग बबूला न करो

ज़ेहन पर तारी मुसलसल ये अँधेरा है और
ये गुज़ारिश भी कि अब घर में उजाला न करो

बे-वफ़ा कह के उसे शहर में कर दें बदनाम
दिल ये मजबूर है कहता है कि ऐसा न करो

ग़म में दो लफ़्ज़ तसल्ली के तो कह सकते हैं
ख़ैर अब आप हमारे लिए इतना न करो

ख़ौफ़ रुसवाई का गर है तो भुला दो मुझको
नाम भी मेरा न लो ज़िक्र भी मेरा न करो

तीर खींचोगे मिरे दिल से तो मर जाऊँगा
बे-नियाज़ी से मिरे दर्द का चारा न करो

इस कड़ी धूप में है कौन किसी का साथी
अपने साए का भी इस वक़्त भरोसा न करो

हमने तो सोचा है अब तर्क-ए-तमन्ना का 'बशर'
दिल की चाहत है मगर तर्क-ए-तमन्ना न करो

  - Dharmesh bashar

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari