main raah-e-shauq mein thak kar jahaan jahaan thehra | मैं राह-ए-शौक़ में थक कर जहाँ जहाँ ठहरा

  - Dharmesh bashar

main raah-e-shauq mein thak kar jahaan jahaan thehra
wahin pe hi tiri zulfon ka kaarwaan thehra

koii bataaye ki ye qafila-e-zaur-o-sitam
chala kahaan se kidhar ko kahaan kahaan thehra

ye dil tha roz-e-azl se alaamat-e-hasti
jo mar gaya to meri zaat ka nishaan thehra

na aaj jism hai bas mein na rooh qabze mein
zahe-naseeb isi roz imtihaan thehra

vo barq-o-raad vo aandhi vo qahar kii baarish
jo ghark ho ke raha mera aashiyaan thehra

ghanera saaya ho baadal ho ya ke ho gesu
jo de sukoon wahi mera saaebaan thehra

usi ne nazarein churaai raha jo noor-e-nazar
usi ne raaz bikhere jo raaz-daan thehra

tire jamaal ko maana magar ye kya kam hai
tira bashar bhi to sartaaj-e-aashiqan thehra

मैं राह-ए-शौक़ में थक कर जहाँ जहाँ ठहरा
वहीं पे ही तिरी ज़ुल्फ़ों का कारवाँ ठहरा

कोई बताए कि ये क़ाफ़िला-ए-जौर-ओ-सितम
चला कहाँ से किधर को कहाँ कहाँ ठहरा

ये दिल था रोज़-ए-अज़ल से अलामत-ए-हस्ती
जो मर गया तो मिरी ज़ात का निशाँ ठहरा

न आज जिस्म है बस में न रूह क़ब्ज़े में
ज़हे-नसीब इसी रोज़ इम्तिहाँ ठहरा

वो बर्क़-ओ-राद वो आँधी वो क़हर की बारिश
जो ग़र्क़ हो के रहा मेरा आशियाँ ठहरा

घनेरा साया हो बादल हो या के हो गेसू
जो दे सुकून वही मेरा साएबाँ ठहरा

उसी ने नज़रें चुराई रहा जो नूर-ए-नज़र
उसी ने राज़ बिखेरे जो राज़-दाँ ठहरा

तिरे जमाल को माना मगर ये क्या कम है
तिरा 'बशर' भी तो सरताज-ए-आशिक़ाँ ठहरा

  - Dharmesh bashar

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari