ek tamasha hai rindon ka daur hai ye paimaanon ka | एक तमाशा है रिंदों का दौर है ये पैमानों का

  - Dharmesh bashar

ek tamasha hai rindon ka daur hai ye paimaanon ka
duniya jiska naam hai vo hai maykhaana maykhaanon ka

ai ulfat ye shohrat hai ya badnaami kuchh tu hi bata
garm hai ik bazaar zamaane mein mere afsano ka

deeda-e-tar uske qadmon mein daulat barbaad na kar
mol vo zalim kya samjhega moti ke in daano ka

duniya waalon ne ashkon kii baarish ko paani samjha
vo kya jaane asl mein ye hai khoon mere armaanon ka

door raho is beemaari se iska koii tod nahin
ishq dilon ka rog hai yaaro ishq hai dushman jaanon ka

ye gaadi ye unchi kothee ye dhan daulat aakhir kyun
ishrat ke samaan sajaana kaam nahin mehmaanon ka

main bhi kaisa deewaana hoon hawaanon kii duniya mein
shama jalaae dhoondh raha hoon ek nagar insaanon ka

kaun sunega sher tumhaare bashar utho mehfil se ab
bazm-e-khird mein kaam hi kya hai tum jaise deewaanon ka

एक तमाशा है रिंदों का दौर है ये पैमानों का
दुनिया जिसका नाम है वो है मयख़ाना मयख़ानों का

ऐ उल्फ़त ये शोहरत है या बदनामी कुछ तू ही बता
गर्म है इक बाज़ार ज़माने में मेरे अफ़सानों का

दीदा-ए-तर उसके क़दमों में दौलत बर्बाद न कर
मोल वो ज़ालिम क्या समझेगा मोती के इन दानों का

दुनिया वालों ने अश्कों की बारिश को पानी समझा
वो क्या जाने अस्ल में ये है ख़ून मिरे अरमानों का

दूर रहो इस बीमारी से इसका कोई तोड़ नहीं
इश्क़ दिलों का रोग है यारो इश्क़ है दुश्मन जानों का

ये गाड़ी ये ऊँची कोठी ये धन दौलत आख़िर क्यूँ
इशरत के सामान सजाना काम नहीं मेहमानों का

मैं भी कैसा दीवाना हूँ हैवानों की दुनिया में
शमअ जलाए ढूँढ रहा हूँ एक नगर इंसानों का

कौन सुनेगा शेर तुम्हारे 'बशर' उठो महफ़िल से अब
बज़्म-ए-ख़िरद में काम ही क्या है तुम जैसे दीवानों का

  - Dharmesh bashar

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari