phir isi bazm mein le aaye hain dekhe koii | फिर इसी बज़्म में ले आए हैं देखे कोई

  - Dharmesh bashar

phir isi bazm mein le aaye hain dekhe koii
baat meri na sune koii na samjhe koii

subah ho zuhr ho ya shaam ki ho neem shabee
ghar ka darwaaza khula rakho ki aaye koii

be-yaqeeni se koii mera saraapa dekhe
ho ke hairaan meri aankh mein jhaanke koii

meri nazaron se mere dil ka dhadakna jaanche
apni nazaron se meri nabz tattolay koii

ban ke tasveer mere saamne kuchh yun baithe
mere kaabe ko sanam-khaana bana de koii

raushni ban ke mere dil ko munavvar kar de
ban ke khushboo mere anfaas mein mahke koii

ban ke shola mere ehsaas ko be-daar kare
ban ke naghma mere afkaar mein goonje koii

haath par dil na rakha aur na gira phir bhi bashar
seene ko tod ke dil kaif ka tode koii

falsafi tha vo kabhi ab to bashar shaair hai
iske ash'aar mein vo baat na dhundhe koii

फिर इसी बज़्म में ले आए हैं देखे कोई
बात मेरी न सुने कोई न समझे कोई

सुब्ह हो ज़ुहर हो या शाम कि हो नीम शबी
घर का दरवाज़ा खुला रक्खो कि आए कोई

बे-यक़ीनी से कोई मेरा सरापा देखे
हो के हैरान मिरी आँख में झाँके कोई

मेरी नज़रों से मिरे दिल का धड़कना जाँचे
अपनी नज़रों से मिरी नब्ज़ टटोले कोई

बन के तस्वीर मेरे सामने कुछ यूँ बैठे
मेरे काबे को सनम-ख़ाना बना दे कोई

रौशनी बन के मिरे दिल को मुनव्वर कर दे
बन के ख़ुशबू मिरे अन्फ़ास में महके कोई

बन के शो'ला मिरे एहसास को बे-दार करे
बन के नग़मा मिरे अफ़कार में गूँजे कोई

हाथ पर दिल न रखा और न गिरा फिर भी 'बशर'
सीने को तोड़ के दिल 'कैफ़' का तोड़े कोई

फ़लसफ़ी था वो कभी अब तो 'बशर' शाइर है
इसके अश'आर में वो बात न ढूँढे कोई

  - Dharmesh bashar

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari