hai ye dariya kabhi ghatta paani
shakl badle hai kya se kya paani
mauj ik aayi jab samundar ki
ret par pyaas likh gaya paani
hain murattab vujood mein kaise
aag mitti falak hawa paani
qadr pehle zameen pe vo kar le
jo khalaon mein dhoondhta paani
shak hi hota hai ishq ka qaateel
jaise buniyaad mein bhara paani
ab bhi rona bacha un aankhon mein
jinmein kuchh bhi nahin bacha paani
haal-e-dil hijr mein bayaan kya ho
jaise machhli se chin gaya paani
ye hi mazloom ki gawaahi hai
aankh se jo tapak raha paani
husn ka may jo pee raha hoon main
saaqiya ismein mat mila paani
है ये दरिया कभी घटा पानी
शक्ल बदले है क्या से क्या पानी
मौज इक आई जब समुंदर की
रेत पर प्यास लिख गया पानी
हैं मुरत्तब वजूद में कैसे
आग मिट्टी फ़लक हवा पानी
क़द्र पहले ज़मीं पे वो कर ले
जो ख़लाओं में ढूँढता पानी
शक ही होता है इश्क़ का क़ातिल
जैसे बुनियाद में भरा पानी
अब भी रोना बचा उन आँखों में
जिनमें कुछ भी नहीं बचा पानी
हाल-ए-दिल हिज्र में बयाँ क्या हो
जैसे मछली से छिन गया पानी
ये ही मज़लूम की गवाही है
आँख से जो टपक रहा पानी
हुस्न का मय जो पी रहा हूँ मैं
साक़िया इसमें मत मिला पानी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dharmesh bashar
our suggestion based on Dharmesh bashar
As you were reading Aankhein Shayari Shayari