har qadam par nit-naye saanche mein dhal jaate hain log | हर क़दम पर नित-नए साँचे में ढल जाते हैं लोग

  - Himayat Ali Shayar

har qadam par nit-naye saanche mein dhal jaate hain log
dekhte hi dekhte kitne badal jaate hain log

kis liye kijeye kisi gum-gashta jannat kii talash
jab ki mitti ke khilauno se bahal jaate hain log

kitne saada dil hain ab bhi sun ke aawaaz-e-jars
pesh o pas se be-khabar ghar se nikal jaate hain log

apne saaye saaye sar-nahu'da aahista khiraam
jaane kis manzil kii jaanib aaj kal jaate hain log

sham'a ke maanind ahl-e-anjuman se be-niyaaz
akshar apni aag mein chup chaap jal jaate hain log

shaair un kii dosti ka ab bhi dam bharte hain aap
thokren kha kar to sunte hain sambhal jaate hain log

हर क़दम पर नित-नए साँचे में ढल जाते हैं लोग
देखते ही देखते कितने बदल जाते हैं लोग

किस लिए कीजे किसी गुम-गश्ता जन्नत की तलाश
जब कि मिट्टी के खिलौनों से बहल जाते हैं लोग

कितने सादा दिल हैं अब भी सुन के आवाज़-ए-जरस
पेश ओ पस से बे-ख़बर घर से निकल जाते हैं लोग

अपने साए साए सर-नहुड़ाए आहिस्ता ख़िराम
जाने किस मंज़िल की जानिब आज कल जाते हैं लोग

शम्अ के मानिंद अहल-ए-अंजुमन से बे-नियाज़
अक्सर अपनी आग में चुप चाप जल जाते हैं लोग

'शाइर' उन की दोस्ती का अब भी दम भरते हैं आप
ठोकरें खा कर तो सुनते हैं सँभल जाते हैं लोग

  - Himayat Ali Shayar

More by Himayat Ali Shayar

As you were reading Shayari by Himayat Ali Shayar

Similar Writers

our suggestion based on Himayat Ali Shayar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari