mujhe apne zabt pe naaz tha sar-e-bazm raat ye kya hua
meri aankh kaise chhalk gai mujhe ranj hai ye bura hua
meri zindagi ke charaagh ka ye mizaaj koii naya nahin
abhi raushni abhi teergi na jala hua na bujha hua
mujhe jo bhi dushman-e-jaan mila wahi shareek-e-bazm-e-khulus mila
na kisi kii zarb ghalat padi na kisi ka teer khata hua
mujhe aap kyun na samajh sake ye khud apne dil hi se poochiye
meri daastaan-e-hayaat ka to varq varq hai khula hua
jo nazar bacha ke guzar gaye mere saamne se abhi abhi
ye mere hi shehar ke log the mere ghar se ghar hai mila hua
hamein is ka koii bhi haq nahin ki jagannath hon
na hamaare paas naqaab hai na kuchh aasteen mein chhupa hua
mujhe ik gali mein pada hua kisi bad-naseeb ka khat mila
kahin khoon-e-dil se likha hua kahin aansuon se mita hua
mujhe hum-safar bhi mila koii to shikasta-haal meri tarah
kai manzilon ka thaka hua kahin raaston mein luta hua
hamein apne ghar se chale hue sar-e-raah umr guzar gai
koii justuju ka sila mila na safar ka haq hi ada hua
मुझे अपने ज़ब्त पे नाज़ था सर-ए-बज़्म रात ये क्या हुआ
मिरी आँख कैसे छलक गई मुझे रंज है ये बुरा हुआ
मिरी ज़िंदगी के चराग़ का ये मिज़ाज कोई नया नहीं
अभी रौशनी अभी तीरगी न जला हुआ न बुझा हुआ
मुझे जो भी दुश्मन-ए-जाँ मिला वही पुख़्ता-कार-ए-जफ़ा मिला
न किसी की ज़र्ब ग़लत पड़ी न किसी का तीर ख़ता हुआ
मुझे आप क्यूँ न समझ सके ये ख़ुद अपने दिल ही से पूछिए
मिरी दास्तान-ए-हयात का तो वरक़ वरक़ है खुला हुआ
जो नज़र बचा के गुज़र गए मिरे सामने से अभी अभी
ये मिरे ही शहर के लोग थे मिरे घर से घर है मिला हुआ
हमें इस का कोई भी हक़ नहीं कि शरीक-ए-बज़्म-ए-ख़ुलूस हों
न हमारे पास नक़ाब है न कुछ आस्तीं में छुपा हुआ
मुझे इक गली में पड़ा हुआ किसी बद-नसीब का ख़त मिला
कहीं ख़ून-ए-दिल से लिखा हुआ कहीं आँसुओं से मिटा हुआ
मुझे हम-सफ़र भी मिला कोई तो शिकस्ता-हाल मिरी तरह
कई मंज़िलों का थका हुआ कहीं रास्तों में लुटा हुआ
हमें अपने घर से चले हुए सर-ए-राह उम्र गुज़र गई
कोई जुस्तुजू का सिला मिला न सफ़र का हक़ ही अदा हुआ
As you were reading Shayari by Iqbal Azeem
our suggestion based on Iqbal Azeem
As you were reading undefined Shayari