kya haal kahein us mausam ka | क्या हाल कहें उस मौसम का

  - Josh Malihabadi

kya haal kahein us mausam ka
jab jins-e-jawaani sasti thi
jis phool ko choomo khulta tha
jis shay ko dekho hansati thi
jeena saccha jeena tha
hasti ain hasti thi
afsaana jaadu afsoon tha
ghaflat neenden masti thi
un beete dinon ki baat hai ye
jab dil ki basti basti thi

ghaflat neenden hasti thi
aankhen kya paimaane the
har roz jawaani bikti thi
har shaam-o-sehar bai'aane the
har khaar mein ik but-khaana tha
har phool mein sau may-khaane the
kaali kaali zulfen theen
gore gore shaane the
un beete dinon ki baat hai ye
jab dil ki basti basti thi

gore gore shaane the
halki-phulki baanhe theen
har-gaam pe khalvat-khaane the
har mod pe ishrat-gaahein theen
tugyaan khushi ke aansu the
takmeel-e-tarab ki aahen theen
ishve chuhlen ghamze the
paltein khushiyaan chaahi theen
un beete dinon ki baat hai ye
jab dil ki basti basti thi

क्या हाल कहें उस मौसम का
जब जिंस-ए-जवानी सस्ती थी
जिस फूल को चूमो खुलता था
जिस शय को देखो हँसती थी
जीना सच्चा जीना था
हस्ती ऐन हस्ती थी
अफ़्साना जादू अफ़्सूँ था
ग़फ़लत नींदें मस्ती थी
उन बीते दिनों की बात है ये
जब दिल की बस्ती बस्ती थी

ग़फ़लत नींदें हस्ती थी
आँखें क्या पैमाने थे
हर रोज़ जवानी बिकती थी
हर शाम-ओ-सहर बैआ'ने थे
हर ख़ार में इक बुत-ख़ाना था
हर फूल में सौ मय-ख़ाने थे
काली काली ज़ुल्फ़ें थीं
गोरे गोरे शाने थे
उन बीते दिनों की बात है ये
जब दिल की बस्ती बस्ती थी

गोरे गोरे शाने थे
हल्की-फुल्की बाँहें थीं
हर-गाम पे ख़ल्वत-ख़ाने थे
हर मोड़ पे इशरत-गाहें थीं
तुग़्यान ख़ुशी के आँसू थे
तकमील-ए-तरब की आहें थीं
इश्वे चुहलें ग़म्ज़े थे
पल्तीं ख़ुशियाँ चाहीं थीं
उन बीते दिनों की बात है ये
जब दिल की बस्ती बस्ती थी

  - Josh Malihabadi

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Josh Malihabadi

As you were reading Shayari by Josh Malihabadi

Similar Writers

our suggestion based on Josh Malihabadi

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari