bol de khule dil se kaun sa bahaana hai | बोल दे खुले दिल से कौन सा बहाना है

  - Manohar Shimpi

bol de khule dil se kaun sa bahaana hai
haan khabar hui us kii raat ka fasaana hai

pairhan naye thode roz hi badalte hain
daur hai naya phir bhi jeans ka zamaana hai

mauj aur masti bhi khoob hi rahi hogi
roz dost ko thode mahz hi sataana hai

ishq aur bhi kitne qadrdaan karte hain
khaas phir rahe koii ek hi deewana hai

baat se kahaan chhota ya bada koii hota
lafz mein manohar hai jaan to sayaana hai

बोल दे खुले दिल से कौन सा बहाना है
हाँ ख़बर हुई उस की रात का फ़साना है

पैरहन नए थोड़े रोज़ ही बदलते हैं
दौर है नया फिर भी जीन्स का ज़माना है

मौज और मस्ती भी ख़ूब ही रही होगी
रोज़ दोस्त को थोड़े महज़ ही सताना है

इश्क़ और भी कितने क़द्रदान करते हैं
ख़ास फिर रहे कोई एक ही दिवाना है

बात से कहाँ छोटा या बड़ा कोई होता
लफ़्ज़ में 'मनोहर' है जान तो सयाना है

  - Manohar Shimpi

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari