rind mantiq jab bana lagta pirana
shakhs vo hi hai muhabbat ka deewana
door jab ahd-e-faraagat hi rahe hain
kyun duaon mein na maangu main zamaana
ab na poocho yaar afsaana mujhe hi
nuqs ne chheena koii phir aashiyana
kashmakash mein kyun uljhte hain hamesha
aur jee hi kya rahe hain phir zamaana
baat waiz kii badi hi hai manohar
ilm sab se hai bada sach mein khazaana
रिंद मंतिक़ जब बना लगता पिराना
शख़्स वो ही है मुहब्बत का दिवाना
दूर जब अहद-ए-फ़राग़त ही रहे हैं
क्यूँ दुआओं में न माँगू मैं ज़माना
अब न पूछो यार अफ़साना मुझे ही
नुक़्स ने छीना कोई फिर आशियाना
कश्मकश में क्यूँ उलझते हैं हमेशा
और जी ही क्या रहे हैं फिर ज़माना
बात वाइज़ की बड़ी ही है 'मनोहर'
इल्म सब से है बड़ा सच में ख़ज़ाना
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading undefined Shayari