yun chaar din kii bahaaron ke qarz utaare gaye | यूँ चार दिन की बहारों के क़र्ज़ उतारे गए

  - Manoj Azhar

yun chaar din kii bahaaron ke qarz utaare gaye
tumhaare baad ke mausam faqat guzaare gaye

zara sii door to sailaab ke sahaare gaye
bhanwar mein uljhe to phir haath paanv maare gaye

sada ka der talak goonjna bahut bhaaya
phir ek naam biyaabaan mein ham pukaare gaye

chhupa chhupa ke jo raaton ne khwaab rakhe the
vo saare din ke ujaalon ke haath maare gaye

kuchh ek chehre meri chashm-e-tar mein tairte hain
kuchh ik safeene abhi tak na paar utaare gaye

यूँ चार दिन की बहारों के क़र्ज़ उतारे गए
तुम्हारे बाद के मौसम फ़क़त गुज़ारे गए

ज़रा सी दूर तो सैलाब के सहारे गए
भँवर में उलझे तो फिर हाथ पाँव मारे गए

सदा का देर तलक गूँजना बहुत भाया
फिर एक नाम बयाबाँ में हम पुकारे गए

छुपा छुपा के जो रातों ने ख़्वाब रक्खे थे
वो सारे दिन के उजालों के हाथ मारे गए

कुछ एक चेहरे मिरी चश्म-ए-तर में तैरते हैं
कुछ इक सफ़ीने अभी तक न पार उतारे गए

  - Manoj Azhar

More by Manoj Azhar

As you were reading Shayari by Manoj Azhar

Similar Writers

our suggestion based on Manoj Azhar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari