safar mein mushkilein aayein to jurat aur badhti hai | सफ़र में मुश्किलें आएँ तो जुरअत और बढ़ती है

  - Nawaz Deobandi

safar mein mushkilein aayein to jurat aur badhti hai
koii jab raasta roke to himmat aur badhti hai

bujhaane ko hawa ke saath gar baarish bhi aa jaaye
chiraagh-e-be-haqiqat kii haqeeqat aur badhti hai

meri kamzoriyaan par jab koii tanqeed karta hai
vo dushman kyun na ho us se mohabbat aur badhti hai

zaroorat mein azeezon kii agar kuchh kaam aa jaao
raqam bhi doob jaati hai adavat aur badhti hai

agar bikne pe aa jaao to ghat jaate hain daam akshar
na bikne ka iraada ho to qeemat aur badhti hai

सफ़र में मुश्किलें आएँ तो जुरअत और बढ़ती है
कोई जब रास्ता रोके तो हिम्मत और बढ़ती है

बुझाने को हवा के साथ गर बारिश भी आ जाए
चराग़-ए-बे-हक़ीक़त की हक़ीक़त और बढ़ती है

मिरी कमज़ोरियों पर जब कोई तन्क़ीद करता है
वो दुश्मन क्यूँ न हो उस से मोहब्बत और बढ़ती है

ज़रूरत में अज़ीज़ों की अगर कुछ काम आ जाओ
रक़म भी डूब जाती है अदावत और बढ़ती है

अगर बिकने पे आ जाओ तो घट जाते हैं दाम अक्सर
न बिकने का इरादा हो तो क़ीमत और बढ़ती है

  - Nawaz Deobandi

More by Nawaz Deobandi

As you were reading Shayari by Nawaz Deobandi

Similar Writers

our suggestion based on Nawaz Deobandi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari