khud ko kitna chhota karna padta hai | ख़ुद को कितना छोटा करना पड़ता है

  - Nawaz Deobandi

khud ko kitna chhota karna padta hai
bete se samjhauta karna padta hai

jab aulaaden naalaayak ho jaati hain
apne oopar gussa karna padta hai

sacchaai ko apnaana aasaan nahin
duniya bhar se jhagda karna padta hai

jab saare ke saare hi beparda hon
aise mein khud parda karna padta hai

pyaason ki basti mein shole bharka kar
phir paani ko mehnga karna padta hai

hans kar apne chahre ki har silvat par
sheeshe ko sharminda karna padta hai

ख़ुद को कितना छोटा करना पड़ता है
बेटे से समझौता करना पड़ता है

जब औलादें नालायक हो जाती हैं
अपने ऊपर ग़ुस्सा करना पड़ता है

सच्चाई को अपनाना आसान नहीं
दुनिया भर से झगड़ा करना पड़ता है

जब सारे के सारे ही बेपर्दा हों
ऐसे में खु़द पर्दा करना पड़ता है

प्यासों की बस्ती में शोले भड़का कर
फिर पानी को महंगा करना पड़ता है

हँस कर अपने चहरे की हर सिलवट पर
शीशे को शर्मिंदा करना पड़ता है

  - Nawaz Deobandi

Naqab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nawaz Deobandi

As you were reading Shayari by Nawaz Deobandi

Similar Writers

our suggestion based on Nawaz Deobandi

Similar Moods

As you were reading Naqab Shayari Shayari