mere ishq kii intiha hi nahin hai
miyaan ye na poocho ki kya hi nahin hai
kabhi shaam ke waqt niklo safar pe
kabhi zindagi to jiya hi nahin hai
mere haal par is tarah hansne waale
tere dil ko abtak laga hi nahin hai
kabhi dil kisi se lagaakar to dekho
tumhein aashiqi ka pata hi nahin hai
tumhein zindagi ka maza hoga kaise
kabhi aashiqi to kiya hi nahin hai
mere naam se kaanp jaate hain patthar
mera pattharon se bhala hi nahin hai
chalo jaao jaahil se patthar pujao
bina ishq maine jiya hi nahin hai
faqat ishq hi ishq main ho gaya hoon
mere haq mein main to bacha hi nahin hai
मेरे इश्क़ की इंतिहा ही नहीं है
मियाँ ये न पूछो कि क्या ही नहीं है
कभी शाम के वक़्त निकलो सफ़र पे
कभी ज़िन्दगी तो जिया ही नहीं है
मेरे हाल पर इस तरह हँसने वाले
तेरे दिल को अबतक लगा ही नहीं है
कभी दिल किसी से लगाकर तो देखो
तुम्हें आशिक़ी का पता ही नहीं है
तुम्हें ज़िन्दगी का मज़ा होगा कैसे
कभी आशिक़ी तो किया ही नहीं है
मेरे नाम से काँप जाते हैं पत्थर
मेरा पत्थरों से भला ही नहीं है
चलो जाओ जाहिल से पत्थर पुजाओ
बिना इश्क़ मैंने जिया ही नहीं है
फ़क़त इश्क़ ही इश्क़ मैं हो गया हूँ
मेरे हक़ में मैं तो बचा ही नहीं है
As you were reading Shayari by Rakesh Mahadiuree
our suggestion based on Rakesh Mahadiuree
As you were reading undefined Shayari