use maaloom hai apni haqeeqat bhi fasana bhi
hamaare dil mein tha akshar usi ka aana jaana bhi
bulandi mere jazbe kii ye dekhega zamaana bhi
falak ke sahan mein hoga mera ik aashiyana bhi
akela in bahaaron ka nahin lutf-o-karam saahib
karam-farma hain mujh par kuchh mizaj-e-aashiqana bhi
jahaan se kar gaye hijrat mohabbat ke sabhi jugnoo
wahan par chhod deti hain ye khushiyaan aana jaana bhi
bahut arse se dekha hi nahin hai raqs chidiyon ka
kahin pedon pe ab milta nahin vo aashiyana bhi
hamaare sher mehkenge kisi din uski rahmat se
hamaare saath mehkega adab ka kaarkhaana bhi
na jaane kin khayaalon mein nahakar muskuraati hai
raza aata nahin hai raaz-e-dil usko chhupaana bhi
उसे मालूम है अपनी हक़ीक़त भी फ़साना भी
हमारे दिल में था अक्सर उसी का आना जाना भी
बुलन्दी मेरे जज़्बे की ये देखेगा ज़माना भी
फ़लक के सहन में होगा मेरा इक आशियाना भी
अकेले इन बहारों का नहीं लुत्फ़-ओ-करम साहिब
करम-फ़रमा हैं मुझ पर कुछ मिज़ाज-ए-आशिक़ाना भी
जहाँ से कर गए हिजरत मोहब्बत के सभी जुगनू
वहाँ पर छोड़ देती हैं ये ख़ुशियाँ आना जाना भी
बहुत अर्से से देखा ही नहीं है रक़्स चिड़ियों का
कहीं पेड़ों पे अब मिलता नहीं वो आशियाना भी
हमारे शेर महकेंगे किसी दिन उसकी रहमत से
हमारे साथ महकेगा अदब का कारख़ाना भी
न जाने किन ख़्यालों में नहाकर मुस्कुराती है
'रज़ा' आता नहीं है राज़-ए-दिल उसको छुपाना भी
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading undefined Shayari