ye sochkar guzaar di fariyaad ke baghair | ये सोचकर गुज़ार दी फ़रियाद के बग़ैर

  - Saqi Amrohvi

ye sochkar guzaar di fariyaad ke baghair
kya lutf-e-zindagi kisi uftaad ke baghair

sab chal rahe hain aur kisi ko khabar nahin
kab kaun said ho gaya sayyaad ke baghair

main tujhko bhool jaaun magar mas'ala ye hai
kaise kategi umr teri yaad ke baghair

ham jaise kuchh charaagh hawaon kii zad pe bhi
raushan hain aaj tak kisi imdaad ke baghair

kya madarse kii qaid nisaab-e-khud-aagahi
padhta raha hoon main kisi ustaad ke baghair

ये सोचकर गुज़ार दी फ़रियाद के बग़ैर
क्या लुत्फ़-ए-ज़िन्दगी किसी उफ़्ताद के बग़ैर

सब चल रहे हैं और किसी को ख़बर नहीं
कब कौन सैद हो गया सय्याद के बग़ैर

मैं तुझको भूल जाऊँ मगर मसअला ये है
कैसे कटेगी उम्र तेरी याद के बग़ैर

हम जैसे कुछ चराग़ हवाओं की ज़द पे भी
रौशन हैं आज तक किसी इमदाद के बग़ैर

क्या मदरसे की क़ैद निसाब-ए-ख़ुद-आगही
पढ़ता रहा हूँ मैं किसी उस्ताद के बग़ैर

  - Saqi Amrohvi

More by Saqi Amrohvi

As you were reading Shayari by Saqi Amrohvi

Similar Writers

our suggestion based on Saqi Amrohvi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari