ajeeb saanehaa mujh par guzar gaya yaaro
main apne saaye se kal raat dar gaya yaaro
har ek naqsh tamannaa ka ho gaya dhundla
har ek zakhm mere dil ka bhar gaya yaaro
bhatak rahi thi jo kashti vo ghark-e-aab hui
chadha hua tha jo dariya utar gaya yaaro
vo kaun tha vo kahaan ka tha kya hua tha use
suna hai aaj koii shakhs mar gaya yaaro
main jis ko likhne ke armaan mein jiya ab tak
varq varq vo fasana bikhar gaya yaaro
अजीब सानेहा मुझ पर गुज़र गया यारो
मैं अपने साए से कल रात डर गया यारो
हर एक नक़्श तमन्ना का हो गया धुँदला
हर एक ज़ख़्म मिरे दिल का भर गया यारो
भटक रही थी जो कश्ती वो ग़र्क़-ए-आब हुई
चढ़ा हुआ था जो दरिया उतर गया यारो
वो कौन था वो कहाँ का था क्या हुआ था उसे
सुना है आज कोई शख़्स मर गया यारो
मैं जिस को लिखने के अरमान में जिया अब तक
वरक़ वरक़ वो फ़साना बिखर गया यारो
As you were reading Shayari by Shahryar
our suggestion based on Shahryar
As you were reading undefined Shayari