kar liye laakh jatan phir bhi na manzar badla
jab meri maa ne dua di to muqaddar badla
ek muddat hui dono hi arde hain zid par
pyaas haari hai meri aur na samandar badla
meri laachaari ka usne bhi sada maan rakha
yaani badla hai sitam aur na sitamgar badla
aur bas chand qadam door thi manzil apni
tu bhi ai dost ye kis mod pe aakar badla
ye jo tum talkhiyaan lehje mein liye firte ho
sah na paoge miyaan hamne jo tevar badla
roz taarikh calendar mein badal jaati thi
phir vo taarikh bhi aayi ki calendar badla
usne har baar hi koshish kii badlne kii mujhe
aur maine bhi liya usko badal kar badla
कर लिए लाख जतन फिर भी न मंज़र बदला
जब मेरी माँ ने दुआ दी तो मुक़द्दर बदला
एक मुद्दत हुई दोनों ही अड़े हैं ज़िद पर
प्यास हारी है मेरी और न समंदर बदला
मेरी लाचारी का उसने भी सदा मान रखा
यानी बदला है सितम और न सितमगर बदला
और बस चंद क़दम दूर थी मंज़िल अपनी
तू भी ऐ दोस्त ये किस मोड़ पे आकर बदला
ये जो तुम तल्ख़ियाॅं लहजे में लिए फिरते हो
सह न पाओगे मियाॅं हमने जो तेवर बदला
रोज़ तारीख़ कैलेंडर में बदल जाती थी
फिर वो तारीख़ भी आई कि कैलेंडर बदला
उसने हर बार ही कोशिश की बदलने की मुझे
और मैंने भी लिया उसको बदल कर बदला
As you were reading Shayari by Shakir Dehlvi
our suggestion based on Shakir Dehlvi
As you were reading undefined Shayari