sar pakad kar zameen pe baith gaya | सर पकड़ कर ज़मीं पे बैठ गया

  - Shakir Dehlvi

sar pakad kar zameen pe baith gaya
phool ka dil wahin pe baith gaya

saare gulshan ko chhod kar bhanwara
ik lab-e-naaznin pe baith gaya

kuchh sitaare zameen pe raushan the
main bhi jaakar wahin pe baith gaya

achha khaasa uchhalta koodta dil
aapki ik nahin pe baith gaya

ik kabootar khayal ka tere
ud ke aaya jabeen pe baith gaya

muft mein de diya makaan-e-dil
jab bharosa makeen pe baith gaya

सर पकड़ कर ज़मीं पे बैठ गया
फूल का दिल वहीं पे बैठ गया

सारे गुलशन को छोड़ कर भँवरा
इक लब-ए-नाज़नीं पे बैठ गया

कुछ सितारे ज़मीं पे रौशन थे
मैं भी जाकर वहीं पे बैठ गया

अच्छा ख़ासा उछलता कूदता दिल
आपकी इक नहीं पे बैठ गया

इक कबूतर ख़याल का तेरे
उड़ के आया जबीं पे बैठ गया

मुफ़्त में दे दिया मकान-ए-दिल
जब भरोसा मकीं पे बैठ गया

  - Shakir Dehlvi

More by Shakir Dehlvi

As you were reading Shayari by Shakir Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Shakir Dehlvi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari