Top 10+

Bimari Shayari

Here is a curated collection of Bimari shayari in Hindi. You can download HD images of all the Bimari shayari on this page. These Bimari Shayari images can also be used as Instagram posts and whatsapp statuses. Start reading now and enjoy.

Paginated list of Bimari Shayari. Click on Load more once you reach the end of list to keep reading more content. You can also tap on Sort button below to choose your selection from popular or latest Bimari shayari in Hindi and English. Enjoy reading!

ishq karne ka ajee tum mein hunar hai hi nahin
ishq kaisa jo udhar hai aur idhar hai hi nahin

chhod kar unko kahaan jaayenge itni raat mein
rah guzar hamse khafa hai aur ghar hai hi nahin

kya karenge ishq karke ghar mein sau sau kaam hain
ishq ka kissa kahi bhi mukhtasar hai hi nahin

naati pote ho chuke hain unke bhi aur mere bhi
dil lagaane ki hamaari ab umar hai hi nahin

chaand taare sab nazaare jiske aage kuch nahin
par karein kya hum jidhar hain vo udhar hai hi nahin

ro pade the aap kyun jab vo kisi ke saath thi
rona hi kyun jab ke dil mein kuch agar hai hi nahin

ishq ka kissa khula ghar par sataake vo pade
rang badle khaal ke asli color hai hi nahin

dene waale ne diye hai zindagi ke chaar din
ishq jismein ta-sehr hai umr bhar hai hi nahin

aapko hi ho mubarak aapka ye mashwara
ba-hunar hai ba-asar hai kaargar hai hi nahin

chhup ke milne ka maza tum na samajh paoge ki
pakde jaane ka ajee tumko to dar hai hi nahin

ishq to aisi hai beemaari jiska koi hal nahin
is bimaari ke liye to chaaragar hai hi nahin

jinka hona ya na hona ek jaisi baat hai
unki bhi hai ye shikaayat ke kadar hai hi nahin

usne poocha meri khaatir yaar ko chhodoge tum
hamne de di munh par gaali ke sabr hai hi nahin

itne gunde hamne pale yaar is din ke liye
hamsafar gar hum nahin to rah guzar hai hi nahin

yaar hamse jo kara le unko hak hamne diya
yaariyaan vo hai jahaan lekin magar hai hi nahin

aapka ahsaan thehra aap pe bhi mujh pe bhi
aap mere ho chuke mujhko khabar hai hi nahin
इश्क़ करने का अजी तुम में हुनर है ही नहीं
इश्क़ कैसा जो उधर है और इधर है ही नहीं

छोड़ कर उनको कहाँ जाएँगे इतनी रात में
रह गुज़र हमसे ख़फ़ा है और घर है ही नहीं

क्या करेंगे इश्क़ करके घर में सौ सौ काम हैं
इश्क़ का किस्सा कहीं भी मुख़्तसर है ही नहीं

नाती पोते हो चुके हैं उनके भी और मेरे भी
दिल लगाने की हमारी अब उमर है ही नहीं

चाँद तारे सब नज़ारे जिसके आगे कुछ नहीं
पर करें क्या हम जिधर हैं वो उधर है ही नहीं

रो पड़े थे आप क्यूँ जब वो किसी के साथ थी
रोना ही क्यूँ जब के दिल में कुछ अगर है ही नहीं

इश्क़ का किस्सा खुला घर पर सटाके वो पड़े
रंग बदले खाल के असली कलर है ही नहीं

देने वाले ने दिए है ज़िंदगी के चार दिन
इश्क़ जिसमें ता-सहर है उम्र भर है ही नहीं

आपको ही हो मुबारक आपका ये मशवरा
बा-हुनर है बा-असर है कारगर है ही नहीं

छुप के मिलने का मज़ा तुम ना समझ पाओगे कि
पकड़े जाने का अजी तुमको तो डर है ही नहीं

इश्क़ तो ऐसी है बीमारी जिसका कोई हल नहीं
इस बिमारी के लिए तो चारागर है ही नहीं

जिनका होना या न होना एक जैसी बात है
उनकी भी है ये शिकायत के कदर है ही नहीं

उसने पूछा मेरी ख़ातिर यार को छोड़ोगे तुम
हमने दे दी मुंह पर गाली के सबर है ही नहीं

इतने गुंडे हमने पाले यार इस दिन के लिये
हमसफ़र गर हम नहीं तो रह गुज़र है ही नहीं

यार हमसे जो करा ले उनको हक हमने दिया
यारियाँ वो है जहाँ लेकिन मगर है ही नहीं

आपका अहसान ठहरा आप पे भी मुझ पे भी
आप मेरे हो चुके मुझको ख़बर है ही नहीं
Read Full
Gagan Bajad 'Aafat'
log sah lete the hans kar kabhi be-zaari bhi
ab to mashkook hui apni milan-saari bhi

vaar kuch khaali gaye mere to phir aa hi gai
apne dushman ko dua dene ki ahl-e-mohabbat bhi

umr bhar kis ne bhala ghaur se dekha tha mujhe
waqt kam ho to saja deti hai beemaari bhi

kis tarah aaye hain is pehli mulaqaat talak
aur mukammal hai juda hone ki tayyaari bhi

oob jaata hoon zehaanat ki numaish se to phir
lutf deta hai ye lahja mujhe baazaari bhi

umr badhti hai magar hum wahi thehre hue hain
thokren khaaiin to kuch aaye samajhdari bhi

ab jo kirdaar mujhe karna hai mushkil hai bahut
mast hone ka dikhaava bhi hai sar bhari bhi
लोग सह लेते थे हँस कर कभी बे-ज़ारी भी
अब तो मश्कूक हुई अपनी मिलन-सारी भी

वार कुछ ख़ाली गए मेरे तो फिर आ ही गई
अपने दुश्मन को दुआ देने की हुश्यारी भी

उम्र भर किस ने भला ग़ौर से देखा था मुझे
वक़्त कम हो तो सजा देती है बीमारी भी

किस तरह आए हैं इस पहली मुलाक़ात तलक
और मुकम्मल है जुदा होने की तय्यारी भी

ऊब जाता हूँ ज़ेहानत की नुमाइश से तो फिर
लुत्फ़ देता है ये लहजा मुझे बाज़ारी भी

उम्र बढ़ती है मगर हम वहीं ठहरे हुए हैं
ठोकरें खाईं तो कुछ आए समझदारी भी

अब जो किरदार मुझे करना है मुश्किल है बहुत
मस्त होने का दिखावा भी है सर भारी भी
Read Full
Shariq Kaifi
pareshaani kabhi apni ya begaani se mar jaayen
use hai chaah ke hum log aasaani se mar jaayen

tujhi ko maat doon to haal mera us ghazal sa ho
ula jiska sahi misra galat saani se mar jaayen

kahaan hamse gaya qurbaaniyaan jannat dilaati hain
tabhi hamne kahaan ye aap qurbaani se mar jaayen

main jaise rab se milta hoon main vaise sab se milta hoon
meri khwaahish hai ke sab log hairaani se mar jaayen

agar jo ishq mein ho tum saleeke se milo hamse
na ho aisa ki teri talkh be-dhyaani se mar jaayen

sabhi ko husn ke dam par mutaasir karne waale sun
kahi aisa na ho sab meherbaani se mar jaayen

bada naadaan hai tu jo khuda naadaan ka bhi hai
bhala ismein hi hai tera tu nadaani se mar jaayen

khuda ne jo bhala rakha bure ke bhes mein rakha
tamasha tay raha duniya ye manmaani se mar jaayen

jahaan bhar mein khuda ko dhoondhna jo ke khudi mein hai
ki har pyaasa yahan paani ki nigraani se mar jaayen

mujhe kuch bhi naya lagta nahin hai ye bhi aafat hai
bimaari tum nayi doge ke puraani se mar jaayen
परेशानी कभी अपनी या बेगानी से मर जाएँ
उसे है चाह के हम लोग आसानी से मर जाएँ

तुझी को मात दूँ तो हाल मेरा उस ग़ज़ल सा हो
उला जिसका सही मिसरा ग़लत सानी से मर जाएँ

कहाँ हमसे गया क़ुर्बानियाँ जन्नत दिलाती हैं
तभी हमने कहाँ ये आप क़ुर्बानी से मर जाएँ

मैं जैसे रब से मिलता हूँ मैं वैसे सब से मिलता हूँ
मेरी ख़्वाहिश है के सब लोग हैरानी से मर जाएँ

अगर जो इश्क़ में हो तुम सलीके से मिलो हमसे
न हो ऐसा कि तेरी तल्ख़ बे-ध्यानी से मर जाएँ

सभी को हुस्न के दम पर मुतासिर करने वाले सुन
कहीं ऐसा न हो सब मेहरबानी से मर जाएँ

बड़ा नादान है तू जो ख़ुदा नादान का भी है
भला इसमें ही है तेरा तू नादानी से मर जाएँ

ख़ुदा ने जो भला रक्खा बुरे के भेस में रक्खा
तमाशा तय रहा दुनिया ये मनमानी से मर जाएँ

जहाँ भर में ख़ुदा को ढूँढना जो के ख़ुदी में है
कि हर प्यासा यहाँ पानी की निगरानी से मर जाएँ

मुझे कुछ भी नया लगता नहीं है ये भी आफ़त है
बिमारी तुम नई दोगे के पुरानी से मर जाएँ
Read Full
Gagan Bajad 'Aafat'
jo jeete jee na aaye vo azadaari ko aayenge
abhi kuch log madfan pe adaakaari ko aayenge

mujhe ye raat mein bhi chain se sone nahin denge
kuch ik hain khwaab jo neendon mein gham-khaari ko aayenge

yaqeen gar ho nahin awaaz dekar ke zara dekho
mere pale hue gham hain wafadari ko aayenge

lahu ka ek bhi katara mera zaaya nahin hoga
hain mustaqbil ke gham baaki jo khun khaari ko aayenge

ilaaj-e-gham hi bas karte mujhe tumne yahan dekha
abhi tum dekhna kuch log beemaari ko aayenge

kaho jhutlaaoge kaise mere ashkon ke saagar ko
kayi dariya hain jo meri tarafdaari ko aayenge

hudood-e gham kaha kya ab bhi baaki hai abhi kuch log
hamaare baad bhi yaani ghazal kaari ko aayenge

mujhe bebas karenge pehle vo ma'zoor hone tak
vo hi phir leke baisakhi madad-gaari ko aayenge
जो जीते जी न आए वो अज़ादारी को आएंगे
अभी कुछ लोग मदफ़न पे अदाकारी को आएंगे

मुझे ये रात में भी चैन से सोने नहीं देंगे
कुछ इक हैं ख़्वाब जो नींदों में ग़म-ख़्वारी को आएंगे

यक़ीं गर हो नहीं आवाज़ देकर के ज़रा देखो
मेरे पाले हुए ग़म हैं वफ़ादारी को आएंगे

लहू का एक भी कतरा मेरा ज़ाया नहीं होगा
हैं मुस्तक़बिल के ग़म बाकी जो ख़ूँ- ख़्वारी को आएंगे

इलाज-ए-ग़म ही बस करते मुझे तुमने यहाँ देखा
अभी तुम देखना कुछ लोग बीमारी को आएंगे

कहो झुठलाओगे कैसे मेरे अश्कों के सागर को
कयी दरिया हैं जो मेरी तरफ़दारी को आएंगे

हुदूद-ए- ग़म कहा क्या अब भी बाकी है, अभी कुछ लोग
हमारे बाद भी यानी ग़ज़ल कारी को आएंगे

मुझे बेबस करेंगे पहले वो मा'ज़ूर होने तक
वो ही फिर लेके बैसाखी मदद-गारी को आएंगे
Read Full
Aman Kumar Shaw "Haif"
t'alluqaat ke imkaan maar deti hai
vo mera hijr bhi hanskar guzaar deti hai

main isliye bhi hareefon ko bhaav deta hoon
hawa diye ke hunar ko nikhaar deti hai

nahin ye laazimi har jang jeetni hi ho
kai maukon pe shikasti qaraar deti hai

bade jatan se main lab par hasi le aata hoon
tabhi fasuregi mujhko pukaar deti hai

maruthalon ki sifaarish nahin sooni jaati
haare bano ko hi badli fuhar deti hai

kabhi guroor jo hota hai sabz hone ka
khizaan darakht ka nashsha utaar deti hai

agar gale laga le koi hum ro dete hain
dava shifaa nahin deti bukhaar deti hai
त'अल्लुक़ात के इमकान मार देती है
वो मेरा हिज्र भी हँसकर गुज़ार देती है

मैं इसलिए भी हरीफ़ों को भाव देता हूँ
हवा दिये के हुनर को निखार देती है

नहीं ये लाज़िमी हर जंग जीतनी ही हो
कई मौकों पे शिकस्ती क़रार देती है

बड़े जतन से मैं लब पर हँसी ले आता हूँ
तभी फ़सुर्दगी मुझको पुकार देती है

मरूथलों की सिफ़ारिश नहीं सुनी जाती
हरे बनों को ही बदली फुहार देती है

कभी गुरूर जो होता है सब्ज़ होने का
ख़िज़ाँ दरख़्त का नश्शा उतार देती है

अगर गले लगा ले कोई हम रो देते हैं
दवा शिफ़ा नहीं देती बुख़ार देती है
Read Full
Manish Kumar Pathak

How's your Mood?

Latest Blog