Top 110+

Paani Shayari

Here is a curated collection of Paani shayari in Hindi. You can download HD images of all the Paani shayari on this page. These Paani Shayari images can also be used as Instagram posts and whatsapp statuses. Start reading now and enjoy.

Paginated list of Paani Shayari. Click on Load more once you reach the end of list to keep reading more content. You can also tap on Sort button below to choose your selection from popular or latest Paani shayari in Hindi and English. Enjoy reading!

ye shayari ye mere seene mein dabii hui aag
bhadak uthegi kabhi meri jama ki hui aag

main choo raha hoon tera jism khwaab ke andar
bujha raha hoon main tasveer mein lagi hui aag

khijaan mein door rakho maachiso ko jungle se
dikhaai deti nahin ped mein chhupi hui aag

main kaatta hoon abhi tak wahi kate hue lafz
main taapta hoon abhi tak wahi bujhi hui aag

yahi diya tujhe pehli nazar mein bhaaya tha
khareed laaya main teri pasand ki hui aag

ek umr se jal bujh raha hoon inke sabab
tera bacha hua paani teri bachi hui aag
ये शायरी ये मेरे सीने में दबी हुई आग
भड़क उठेगी कभी मेरी जमा की हुई आग

मैं छू रहा हूं तेरा जिस्म ख्वाब के अंदर
बुझा रहा हूं मैं तस्वीर में लगी हुई आग

खिजां में दूर रखो माचिसो को जंगल से
दिखाई देती नहीं पेड़ में छुपी हुई आग

मैं काटता हूं अभी तक वही कटे हुए लफ्ज़
मैं तापता हूं अभी तक वही बुझी हुई आग

यही दिया तुझे पहली नजर में भाया था
खरीद लाया मैं तेरी पसंद की हुई आग

एक उम्र से जल बूझ रहा हूं इनके सबब
तेरा बचा हुआ पानी तेरी बची हुई आग
Read Full
Tehzeeb Hafi
koi deewaana kehta hai koi paagal samajhta hai
magar dharti ki bechaini ko bas baadal samajhta hai

main tujhse door kaisa hoon tu mujhse door kaisi hai
ye tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai

mohabbat ek ahsaason ki paawan si kahaani hai
kabhi kabira deewaana tha kabhi meera deewani hai

yahan sab log kahte hain meri aankhon mein aansu hain
jo tu samjhe to moti hai jo na samjhe to paani hai

samandar peer ka andar hai lekin ro nahin saka
yah aansu pyaar ka moti hai isko kho nahin saka

meri chaahat ko dulhan tu bana lena magar sun le
jo mera ho nahin paaya vo tera ho nahin saka
कोई दीवाना कहता है कोई पागल समझता है
मगर धरती की बेचैनी को बस बादल समझता है

मैं तुझसे दूर कैसा हूँ तू मुझसे दूर कैसी है
ये तेरा दिल समझता है या मेरा दिल समझता है

मोहब्बत एक अहसासों की पावन सी कहानी है
कभी कबिरा दीवाना था कभी मीरा दीवानी है

यहाँ सब लोग कहते हैं मेरी आंखों में आँसू हैं
जो तू समझे तो मोती है जो ना समझे तो पानी है

समंदर पीर का अन्दर है लेकिन रो नहीं सकता
यह आँसू प्यार का मोती है इसको खो नहीं सकता

मेरी चाहत को दुल्हन तू बना लेना मगर सुन ले
जो मेरा हो नहीं पाया वो तेरा हो नहीं सकता
Read Full
Kumar Vishwas
chehra dekhen tere hont aur palkein dekhen
dil pe aankhe rakhen teri saansen dekhen

surkh labon se sabz duaaein footi hain
peele phoolon tum ko neeli aankhen dekhen

saal hone ko aaya hai vo kab lautega
aao khet ki sair ko niklen koojen dekhen

thodi der mein jungle hum ko aaq karega
bargad dekhen ya bargad ki shaakhe dekhen

mere maalik aap to sab kuch kar sakte hain
saath chalen hum aur duniya ki aankhen dekhen

hum tere honto ki larzish kab bhule hain
paani mein patthar fenke aur lahren dekhen
चेहरा देखें तेरे होंट और पलकें देखें
दिल पे आँखे रखें तेरी साँसें देखें

सुर्ख़ लबों से सब्ज़ दुआएँ फूटी हैं
पीले फूलों तुम को नीली आँखें देखें

साल होने को आया है वो कब लौटेगा
आओ खेत की सैर को निकलें कूजें देखें

थोडी देर में जंगल हम को आक़ करेगा
बरगद देखें या बरगद की शाख़े देखें

मेरे मालिक आप तो सब कुछ कर सकते हैं
साथ चलें हम और दुनिया की आँखें देखें

हम तेरे होंटो की लर्ज़िश कब भूले हैं
पानी में पत्थर फेंके और लहरें देखें
Read Full
Tehzeeb Hafi
aankh mein paani rakho honton pe chingaari rakho
zinda rahna hai to tarkeebein bahut saari rakho

raah ke patthar se badh kar kuch nahin hain manzilen
raaste awaaz dete hain safar jaari rakho

ek hi naddi ke hain ye do kinaare dosto
dostana zindagi se maut se yaari rakho

aate jaate pal ye kahte hain hamaare kaan mein
kooch ka ailaan hone ko hai tayyaari rakho

ye zaroori hai ki aankhon ka bharam qaaim rahe
neend rakho ya na rakho khwaab meyari rakho

ye hawaaein ud na jaayen le ke kaaghaz ka badan
dosto mujh par koi patthar zara bhari rakho

le to aaye shaayri bazaar mein raahat miyaan
kya zaroori hai ki lehje ko bhi baazaari rakho
आँख में पानी रखो होंटों पे चिंगारी रखो
ज़िंदा रहना है तो तरकीबें बहुत सारी रखो

राह के पत्थर से बढ़ कर कुछ नहीं हैं मंज़िलें
रास्ते आवाज़ देते हैं सफ़र जारी रखो

एक ही नद्दी के हैं ये दो किनारे दोस्तो
दोस्ताना ज़िंदगी से मौत से यारी रखो

आते जाते पल ये कहते हैं हमारे कान में
कूच का ऐलान होने को है तय्यारी रखो

ये ज़रूरी है कि आँखों का भरम क़ाएम रहे
नींद रखो या न रखो ख़्वाब मेयारी रखो

ये हवाएँ उड़ न जाएँ ले के काग़ज़ का बदन
दोस्तो मुझ पर कोई पत्थर ज़रा भारी रखो

ले तो आए शाइरी बाज़ार में 'राहत' मियाँ
क्या ज़रूरी है कि लहजे को भी बाज़ारी रखो
Read Full
Rahat Indori
marham ke nahin hain ye taraf-daar namak ke
nikle hain mere zakham talabgaar namak ke

aaya koi sailaab kahaani mein achaanak
aur ghul gaye paani mein vo kirdaar namak ke

dono hi kinaaron pe thi beemaaron ki majlis
is paar the meethe ke to us paar namak ke

us ne hi diye zakham ye gardan pe hamaari
phir us ne hi pahnaaye humein haar namak ke

kahti thi ghazal mujh ko hai marham ki zaroorat
aur dete rahe sab use ashaar namak ke

jis samt mila karti theen zakhamon ki dawaayein
sunte hain ki ab hain wahan bazaar namak ke
मरहम के नहीं हैं ये तरफ़-दार नमक के
निकले हैं मिरे ज़ख़्म तलबगार नमक के

आया कोई सैलाब कहानी में अचानक
और घुल गए पानी में वो किरदार नमक के

दोनों ही किनारों पे थी बीमारों की मज्लिस
इस पार थे मीठे के तो उस पार नमक के

उस ने ही दिए ज़ख़्म ये गर्दन पे हमारी
फिर उस ने ही पहनाए हमें हार नमक के

कहती थी ग़ज़ल मुझ को है मरहम की ज़रूरत
और देते रहे सब उसे अशआ'र नमक के

जिस सम्त मिला करती थीं ज़ख़्मों की दवाएँ
सुनते हैं कि अब हैं वहाँ बाज़ार नमक के
Read Full
Varun Anand
thakna bhi laazmi tha kuch kaam karte karte
kuch aur thak gaya hoon aaraam karte karte

andar sab aa gaya hai baahar ka bhi andhera
khud raat ho gaya hoon main shaam karte karte

ye umr thi hi aisi jaisi guzaar di hai
badnaam hote hote badnaam karte karte

fansata nahin parinda hai bhi isee fazaa mein
tang aa gaya hoon dil ko yun daam karte karte

kuch be-khabar nahin the jo jaante hain mujh ko
main kooch kar raha tha bisraam karte karte

sar se guzar gaya hai paani to zor karta
sab rok rukte rukte sab thaam karte karte

kis ke tawaaf mein the aur ye din aa gaye hain
kya khaak thi ki jis ko ehraam karte karte

jis mod se chale the pahunchen hain phir wahi par
ik raayegaan safar ko anjaam karte karte

aakhir zafar hua hoon manzar se khud hi ghaaeb
usloob-e-khaas apna main aam karte karte
थकना भी लाज़मी था कुछ काम करते करते
कुछ और थक गया हूँ आराम करते करते

अंदर सब आ गया है बाहर का भी अंधेरा
ख़ुद रात हो गया हूँ मैं शाम करते करते

ये उम्र थी ही ऐसी जैसी गुज़ार दी है
बदनाम होते होते बदनाम करते करते

फँसता नहीं परिंदा है भी इसी फ़ज़ा में
तंग आ गया हूँ दिल को यूँ दाम करते करते

कुछ बे-ख़बर नहीं थे जो जानते हैं मुझ को
मैं कूच कर रहा था बिसराम करते करते

सर से गुज़र गया है पानी तो ज़ोर करता
सब रोक रुकते रुकते सब थाम करते करते

किस के तवाफ़ में थे और ये दिन आ गए हैं
क्या ख़ाक थी कि जिस को एहराम करते करते

जिस मोड़ से चले थे पहुँचे हैं फिर वहीं पर
इक राएगाँ सफ़र को अंजाम करते करते

आख़िर 'ज़फ़र' हुआ हूँ मंज़र से ख़ुद ही ग़ाएब
उस्लूब-ए-ख़ास अपना मैं आम करते करते
Read Full
Zafar Iqbal

LOAD MORE

How's your Mood?

Latest Blog