guzar chuki julmate shab-e-hijr par badan mein vo teergi hai | गुजर चुकी जुल्मते शब-ए-हिज्र, पर बदन में वो तीरगी है

  - Tehzeeb Hafi

guzar chuki julmate shab-e-hijr par badan mein vo teergi hai
main jal marunga magar chiraagon ke lo ko madhyam nahin karunga

yah ahad lekar hi tujh ko saumpi thi maine kalbau nazar ki sarhad
jo tere haathon se katl hoga main us ka maatam nahin karunga

गुजर चुकी जुल्मते शब-ए-हिज्र, पर बदन में वो तीरगी है
मैं जल मरुंगा मगर चिरागों के लो को मध्यम नहीं करूंगा

यह अहद लेकर ही तुझ को सौंपी थी मैंने कलबौ नजर की सरहद
जो तेरे हाथों से कत्ल होगा मैं उस का मातम नहीं करूंगा

  - Tehzeeb Hafi

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tehzeeb Hafi

As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi

Similar Writers

our suggestion based on Tehzeeb Hafi

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari