ye nadi warna to kab ki paar thi
mere raaste mein ana deewaar thi
aap ko kya ilm hai is baat ka
zindagi mushkil nahin dushwaar thi
theen kamaanein dushmanon ke haath mein
aur mere haath mein talwaar thi
jal gaye ik roz suraj se charaagh
raushni ko raushni darkaar thi
aaj duniya ke labon par muhr hai
kal talak haan sahib-e-guftaar thi
ये नदी वर्ना तो कब की पार थी
मेरे रस्ते में अना दीवार थी
आप को क्या इल्म है इस बात का
ज़िंदगी मुश्किल नहीं दुश्वार थी
थीं कमानें दुश्मनों के हाथ में
और मेरे हाथ में तलवार थी
जल गए इक रोज़ सूरज से चराग़
रौशनी को रौशनी दरकार थी
आज दुनिया के लबों पर मुहर है
कल तलक हाँ साहब-ए-गुफ़्तार थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by ARahman Ansari
our suggestion based on ARahman Ansari
As you were reading Raasta Shayari Shayari