gar ziyaada nahin to thodi ho | गर ज़ियादा नहीं तो थोड़ी हो

  - shampa andaliib

gar ziyaada nahin to thodi ho
baat kuchh der ho par achhi ho

ek kamra ho kuchh kitaaben hon
aur khidki se dhoop aati ho

kya zaroorat pade kisi kii agar
dost mein baat dost jaisi ho

aisi khwaahish panap gai dil mein
umr kat jaaye jo na poori ho

jaane kis kaifiyat mein hoga vo
jis ko har ek baat chubhti ho

aise logon se baat kya kii jaaye
jin kii har ek baat jhoothi ho

jaane waale chale gaye shampa
aap kis kaifiyat mein baithi ho

गर ज़ियादा नहीं तो थोड़ी हो
बात कुछ देर हो पर अच्छी हो

एक कमरा हो कुछ किताबें हों
और खिड़की से धूप आती हो

क्या ज़रूरत पड़े किसी की अगर
दोस्त में बात दोस्त जैसी हो

ऐसी ख़्वाहिश पनप गई दिल में
उम्र कट जाए जो न पूरी हो

जाने किस कैफ़ियत में होगा वो
जिस को हर एक बात चुभती हो

ऐसे लोगों से बात क्या की जाए
जिन की हर एक बात झूठी हो

जाने वाले चले गए शम्पा
आप किस कैफ़ियत में बैठी हो

  - shampa andaliib

More by shampa andaliib

As you were reading Shayari by shampa andaliib

Similar Writers

our suggestion based on shampa andaliib

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari