jab bhi ghar ke dar-o-deewar se uktaate hain | जब भी घर के दर-ओ-दीवार से उक्ताते हैं

  - Sohil Barelvi

jab bhi ghar ke dar-o-deewar se uktaate hain
log dariya kii taraf khud hi chale jaate hain

jo chale jaate nahin aate dobara mud kar
vaham aata hai faqat log nahin aate hain

phir samajhte hain isi samt hai apna sab kuchh
aap kii samt hi jab yaar qadam jaate hain

waqiaa hai ye tasavvur ke jahaan ka jaanaan
apni ungli se tiri zulf ko sahlaate hain

ham gareebon kii tamannaayein hain bewa jaisi
chahte rahte hain kuchh lutf nahin paate hain

sang-e-marmar kii sadak raas nahin aati hamein
thokren jaan ke ham log yahan khaate hain

dil ko takleef to hoti hai magar ham sohil
ek qatra bhi nigaahon mein nahin laate hain

जब भी घर के दर-ओ-दीवार से उक्ताते हैं
लोग दरिया की तरफ़ ख़ुद ही चले जाते हैं

जो चले जाते नहीं आते दोबारा मुड़ कर
वहम आता है फ़क़त लोग नहीं आते हैं

फिर समझते हैं इसी सम्त है अपना सब कुछ
आप की सम्त ही जब यार क़दम जाते हैं

वाक़िआ है ये तसव्वुर के जहाँ का जानाँ
अपनी ऊँगली से तिरी ज़ुल्फ़ को सहलाते हैं

हम ग़रीबों की तमन्नाएँ हैं बेवा जैसी
चाहते रहते हैं कुछ लुत्फ़ नहीं पाते हैं

संग-ए-मरमर की सड़क रास नहीं आती हमें
ठोकरें जान के हम लोग यहाँ खाते हैं

दिल को तकलीफ़ तो होती है मगर हम सोहिल
एक क़तरा भी निगाहों में नहीं लाते हैं

  - Sohil Barelvi

More by Sohil Barelvi

As you were reading Shayari by Sohil Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Sohil Barelvi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari