mere gham se mujhko fursat hi nahin
be-wajah hansne kii aadat hi nahin
zinda rahna thoda mushkil kaam hai
marne mein to koii diqqat hi nahin
hijr uska kyun manaauun main bhala
jab use koii gharaamat hi nahin
ishq kii chaahat liye firta raha
jabki mere paas daulat hi nahin
mere kehne se bhala kya hoga ab
usko to mujhse mohabbat hi nahin
laakh achha dil liye ghoomo magar
achhe dil kii koii qeemat hi nahin
main jise chaahoon mujhe mil jaaye vo
itni achhi meri qismat hi nahin
ye mujhe kis baat ka hai itna dard
jab mujhe koii uqoobat hi nahin
aap usko sachcha aashiq kahte hain
jism se jisko mohabbat hi nahin
kaise main apni havas poori karoon
mere vash mein koii aurat hi nahin
मेरे ग़म से मुझको फ़ुर्सत ही नहीं
बे-वजह हँसने की आदत ही नहीं
ज़िंदा रहना थोड़ा मुश्किल काम है
मरने में तो कोई दिक़्क़त ही नहीं
हिज्र उसका क्यों मनाऊँ मैं भला
जब उसे कोई ग़रामत ही नहीं
इश्क़ की चाहत लिए फिरता रहा
जबकि मेरे पास दौलत ही नहीं
मेरे कहने से भला क्या होगा अब
उसको तो मुझसे मोहब्बत ही नहीं
लाख अच्छा दिल लिए घूमो मगर
अच्छे दिल की कोई क़ीमत ही नहीं
मैं जिसे चाहूँ मुझे मिल जाए वो
इतनी अच्छी मेरी क़िस्मत ही नहीं
ये मुझे किस बात का है इतना दर्द
जब मुझे कोई उक़ूबत ही नहीं
आप उसको सच्चा आशिक़ कहते हैं
जिस्म से जिसको मोहब्बत ही नहीं
कैसे मैं अपनी हवस पूरी करूँ
मेरे वश में कोई औरत ही नहीं
As you were reading Shayari by ABhishek Parashar
our suggestion based on ABhishek Parashar
As you were reading undefined Shayari