tadbeer
zindagi aajkal ye kyun mujhse
aashnaon sii raas aati hai
roz baad-e-saba bhi ye kaise
khwaab jaise payaam laati hai
subah masroof-taare bujhte hue
ye mera haal pooch lete hain
kaanpati thand mein tapish ke pate
kis tarah mujh ko khoj lete hain
dhoop mein jad se ped bhi mujh par
apna saaya shadeed dete hain
raah mein khilte phool aur patte
ye mere saath mein tahalte hain
chaand-sooraj naye libaason mein
kuchh adab se alaap karte hain
dariya ye ziddi se pahaad sabhi
mera swaagat zaroor karte hain
ab to maik ye parinde bhi
apne naghme numayaan karte hain
ittifaqan nahin mujhe beshak
sab tire intizaam lagte hain
“तदबीर”
ज़िंदगी आजकल ये क्यूँ मुझसे
आशनाओं सी रास आती है
रोज़ बाद-ए-सबा भी ये कैसे
ख़्वाब जैसे पयाम लाती है
सुब्ह मसरूफ़-तारे बुझते हुए
ये मिरा हाल पूछ लेते हैं
काँपती ठंड में तपिश के पते
किस तरह मुझ को खोज लेते हैं
धूप में जड़ से पेड़ भी मुझ पर
अपना साया शदीद देते हैं
राह में खिलते फूल और पत्ते
ये मिरे साथ में टहलते हैं
चाँद-सूरज नए लिबासों में
कुछ अदब से अलाप करते हैं
दरिया ये ज़िद्दी से पहाड़ सभी
मेरा स्वागत ज़रूर करते हैं
अब तो शर्मीले ये परिंदे भी
अपने नग़्मे नुमायाँ करते हैं
इत्तिफ़ाक़न नहीं मुझे बेशक
सब तिरे इंतिज़ाम लगते हैं
As you were reading Shayari by kapil verma
our suggestion based on kapil verma
As you were reading undefined Shayari