fikr parvaaz pe hoti hai ghazal hoti hai
fasl-e-gul zehn mein boti hai ghazal hoti hai
maskh jab husn-e-takhayyul ko badhaane ke liye
khooon mein ash'aar duboti hai ghazal hoti hai
bahr ke dhaage mein chun chun ke adab kii maalin
lafz ke phool piroti hai ghazal hoti hai
dil ke kaaghaz pe mazaameen utar aate hain
baat ilhaam jo hoti hai ghazal hoti hai
shab-e-tanhaai ke aalam mein dil-e-mujhtar mein
yaad nashtar sa chubhoti hai ghazal hoti hai
gham-e-hijraan mein tadapati hui koii birhan
takiya ashkon se bhigoti hai ghazal hoti hai
koii mazloom pe jab zulm-o-sitam dhaaye anees
dil mein yalghaar sii hoti hai ghazal hoti hai
फ़िक्र परवाज़ पे होती है ग़ज़ल होती है
फ़स्ल-ए-गुल ज़ेह्न में बोती है ग़ज़ल होती है
मश्क़ जब हुस्न-ए-तख़य्युल को बढ़ाने के लिए
खूँ में अश्आर डुबोती है ग़ज़ल होती है
बह्र के धागे में चुन चुन के अदब की मालिन
लफ़्ज़ के फूल पिरोती है ग़ज़ल होती है
दिल के काग़ज़ पे मज़ामीन उतर आते हैं
बात इल्हाम जो होती है ग़ज़ल होती है
शब-ए-तन्हाई के आलम में दिल-ए-मुज़्तर में
याद नश्तर सा चुभोती है ग़ज़ल होती है
ग़म-ए-हिज्राँ में तड़पती हुई कोई बिरहन
तकिया अश्कों से भिगोती है ग़ज़ल होती है
कोई मज़लूम पे जब ज़ुल्म-ओ-सितम ढाए अनीस
दिल में यलग़ार सी होती है ग़ज़ल होती है
As you were reading Shayari by Anis shah anis
our suggestion based on Anis shah anis
As you were reading undefined Shayari