dil agar karne lage pyaar ghazal hoti hai
gham se ho koii jo bezaar ghazal hoti hai
dilnasheen husn nazar saamne aa jaaye to
baj uthe dil ke agar taar ghazal hoti hai
dard jab had se guzar jaaye kabhi seene mein
aankhon se bahne lage dhaar ghazal hoti hai
zulm haakim ke riyaaya pe agar badh jaaye
jab qalam banta hai talwaar ghazal hoti hai
ek bebas ko sataaye jo kabhi koii anees
dil mein hone lage yalghaar ghazal hoti hai
दिल अगर करने लगे प्यार ग़ज़ल होती है
ग़म से हो कोई जो बेज़ार ग़ज़ल होती है
दिलनशीं हुस्न नज़र सामने आ जाए तो
बज उठें दिल के अगर तार ग़ज़ल होती है
दर्द जब हद से गुज़र जाए कभी सीने में
आँखों से बहने लगे धार ग़ज़ल होती है
ज़ुल्म हाकिम के रियाया पे अगर बढ़ जाए
जब क़लम बनता है तलवार ग़ज़ल होती है
एक बेबस को सताए जो कभी कोई 'अनीस'
दिल में होने लगे यलग़ार ग़ज़ल होती है
As you were reading Shayari by Anis shah anis
our suggestion based on Anis shah anis
As you were reading undefined Shayari