jisne mujhse qurbat mein qaaida nahin rakkha | जिसने मुझसे क़ुर्बत में क़ाएदा नहीं रक्खा

  - Bhoomi Srivastava

jisne mujhse qurbat mein qaaida nahin rakkha
usse maine phir koii raabta nahin rakkha

aaj mujhmein khuddaari aa gai to diqqat hai
kal nahin thi to sabne vaasta nahin rakkha

hain bahut gham-o-gussa zindagi meri bhi par
maine rabt rakhne mein dayra nahin rakkha

umr bhar jo kehta tha maan leti main kehna
ranj hai ki maine kyun aaina nahin rakkha

aur kya muhabbat mein intiha meri hogi
baad us ke bhi us se fasla nahin rakkha

zindagi ke toofaanon ne faqat mere dil mein
hausla rakha hai aur haadsa nahin rakkha

जिसने मुझसे क़ुर्बत में क़ाएदा नहीं रक्खा
उससे मैंने फिर कोई राब्ता नहीं रक्खा

आज मुझमें ख़ुद्दारी आ गई तो दिक़्क़त है
कल नहीं थी तो सबने वास्ता नहीं रक्खा

हैं बहुत ग़म-ओ-ग़ुस्सा ज़िंदगी मेरी भी पर
मैंने रब्त रखने में दायरा नहीं रक्खा

उम्र भर जो कहता था मान लेती मैं कहना
रंज है कि मैंने क्यों आइना नहीं रक्खा

और क्या मुहब्बत में इंतिहा मेरी होगी
बाद उस के भी उस से फ़ासला नहीं रक्खा

ज़िंदगी के तूफ़ानों ने फ़क़त मेरे दिल में
हौसला रखा है और हादसा नहीं रक्खा

  - Bhoomi Srivastava

More by Bhoomi Srivastava

As you were reading Shayari by Bhoomi Srivastava

Similar Writers

our suggestion based on Bhoomi Srivastava

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari