kisi ka dil bhi todna yahan bana savaab hai | किसी का दिल भी तोड़ना यहाँ बना सवाब है

  - Bhoomi Srivastava

kisi ka dil bhi todna yahan bana savaab hai
miyaan jahaan mein ishq ab hua bada kharab hai

nahin bacha mere makaan mein kuchh to kya asar hua
abhi main hoon mujhe bachaane ko meri sharaab hai

jo shakhs khud gina raha hai apne aib raat din
use khabar nahin ki vo mere liye nawaab hai

kabhi mare to kis taraf kahaan pe mil sakenge ham
nahin pata kisi ko bhi ki iska kya jawaab hai

chubhe hain jis ke kaante mujh ko khaal se zabaan tak
main kya kahoon vo us ka hi diya hua gulaab hai

vo kaun tha jo bachpana mujhi se le gaya mera
bachi rahi jo mujh mein vo ada khuli kitaab hai

mere liye wafa se badh ke kuchh nahin zeest mein
mera ye fan mere hi vaaste bana azaab hai

किसी का दिल भी तोड़ना यहाँ बना सवाब है
मियाँ जहाँ में इश्क़ अब हुआ बड़ा ख़राब है

नहीं बचा मेरे मकाँ में कुछ तो क्या असर हुआ
अभी मैं हूँ मुझे बचाने को मेरी शराब है

जो शख़्स ख़ुद गिना रहा है अपने ऐब रात दिन
उसे ख़बर नहीं कि वो मेरे लिए नवाब है

कभी मरे तो किस तरफ़ कहाँ पे मिल सकेंगे हम
नहीं पता किसी को भी कि इसका क्या जवाब है

चुभे हैं जिस के काँटें मुझ को खाल से ज़बान तक
मैं क्या कहूँ वो उस का ही दिया हुआ गुलाब है

वो कौन था जो बचपना मुझी से ले गया मेरा
बची रही जो मुझ में वो अदा खुली किताब है

मेरे लिए वफ़ा से बढ़ के कुछ नहीं ज़ीस्त में
मेरा ये फ़न मेरे ही वास्ते बना अज़ाब है

  - Bhoomi Srivastava

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bhoomi Srivastava

As you were reading Shayari by Bhoomi Srivastava

Similar Writers

our suggestion based on Bhoomi Srivastava

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari