aaj phir ghar yaad mein uski sajaaya | आज फिर घर याद में उसकी सजाया

  - Lalit Mohan Joshi

aaj phir ghar yaad mein uski sajaaya
maine dil phir apna kuchh aise dukhaaya

zindagi ko chhodkar jab se gaya hai
ab yahan lagta hai har koii paraaya

ham ne khud se bhi ziyaada usko chaaha
fer kar usne nazar hamko rulaaya

mujhko jhoota usne aise kaise bola
yaar usne din bhi kaisa ye dikhaaya

uske mushkil raaston mein saath main tha
par mujhe hi raste ka kaanta bataaya

jab uthi uski jo doli saamne se
jashn logon ne yaqeenan phir manaaya

vo khushi se ghair baahon mein chali hai
is tarah mere labon ko hai sukhaaya

ab akela yaar tanhaa chalta hoon main
jab se apna rang ye usne dikhaaya

आज फिर घर याद में उसकी सजाया
मैंने दिल फिर अपना कुछ ऐसे दुखाया

ज़िंदगी को छोड़कर जब से गया है
अब यहाँ लगता है हर कोई पराया

हम ने ख़ुद से भी ज़ियादा उसको चाहा
फेर कर उसने नज़र हमको रुलाया

मुझको झूठा उसने ऐसे कैसे बोला
यार उसने दिन भी कैसा ये दिखाया

उसके मुश्किल रास्तों में साथ मैं था
पर मुझे ही रस्ते का काँटा बताया

जब उठी उसकी जो डोली सामने से
जश्न लोगों ने यक़ीनन फिर मनाया

वो ख़ुशी से ग़ैर बाहों में चली है
इस तरह मेरे लबों को है सुखाया

अब अकेले यार तन्हा चलता हूँ मैं
जब से अपना रंग ये उसने दिखाया

  - Lalit Mohan Joshi

More by Lalit Mohan Joshi

As you were reading Shayari by Lalit Mohan Joshi

Similar Writers

our suggestion based on Lalit Mohan Joshi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari