yahan baagh aise rulaaye gaye hain
shajar ke badan jaise kaate gaye hain
hamein aaj toka sabhi ne hai aise
dil-e-dard jaise banaate gaye hain
karo phool kii tum hifazat yahan ab
yahan phool ko jab maslate gaye hain
sikhaaya hai jeena hamein aur marna
vo ghar sab yahan par jalaae gaye hain
zameen khoobsurat humeen ne banaai
humeen kyun ise phir mitaate gaye hain
ye kitne gharo kii kahaani bataati
jahaan maa pitaa yun rulaaye gaye hain
jo moti hamaare liye chun ke laaye
wahi ham se dekho bhulaaye gaye hain
यहाँ बाग़ ऐसे रुलाए गए हैं
शजर के बदन जैसे काटे गए हैं
हमें आज टोका सभी ने है ऐसे
दिल-ए-दर्द जैसे बनाते गए हैं
करो फूल की तुम हिफ़ाज़त यहाँ अब
यहाँ फूल को जब मसलते गए हैं
सिखाया है जीना हमें और मरना
वो घर सब यहाँ पर जलाए गए हैं
ज़मीं ख़ूबसूरत हमीं ने बनाई
हमीं क्यों इसे फिर मिटाते गए हैं
ये कितने घरों की कहानी बताती
जहाँ माँ पिता यूँ रुलाए गए हैं
जो मोती हमारे लिए चुन के लाए
वही हम से देखो भुलाए गए हैं
As you were reading Shayari by Lalit Mohan Joshi
our suggestion based on Lalit Mohan Joshi
As you were reading undefined Shayari