uski hi tasveer ko dil mein rakha hai
maine to tanveer ko dil mein rakha hai
naam uska hai sajaaya dil mein hamne
baad phir taqreer ko dil mein rakha hai
shayari ka hai hunar ye tab se aaya
hamne jabse meer ko dil mein rakha hai
de rahe hain log ab to zakhm yun phir
maine sabke teer ko dil mein rakha hai
ab use koii nahin hai chot deta
jabse ik tadbeer ko dil mein rakha hai
ho raha hai naam duniya mein lalit ka
yaani khud taqdeer ko dil mein rakha hai
उसकी ही तस्वीर को दिल में रखा है
मैंने तो तनवीर को दिल में रखा है
नाम उसका है सजाया दिल में हमने
बाद फिर तक़रीर को दिल में रखा है
शायरी का है हुनर ये तब से आया
हमने जबसे मीर को दिल में रखा है
दे रहे हैं लोग अब तो ज़ख़्म यूँ फिर
मैंने सबके तीर को दिल में रखा है
अब उसे कोई नहीं है चोट देता
जबसे इक तदबीर को दिल में रखा है
हो रहा है नाम दुनिया में ललित का
यानी ख़ुद तक़दीर को दिल में रखा है
As you were reading Shayari by Lalit Mohan Joshi
our suggestion based on Lalit Mohan Joshi
As you were reading undefined Shayari