mujhe kuchh nahin tum samajhne lage ho
guzarne ye kaise bharam se lage ho
bichaate ho kaante mere raaston mein
ghalat chaal tum phir se chalne lage ho
tumhein lag raha hai ki marne laga hoon
so tum apni marzi chalaane lage ho
mujhe baat par to hasi aa rahi hai
dikhaane mujhe aankh kyun ye lage ho
hua jab andhera sabhi or se to
bujhaane ye kyun tum mashale lage ho
samandar ko peene ka rakhta hunar main
mujhe tum to dariya bataane lage ho
main kehta raha hoon mere dost tumse
ghalat tum bahut hi bahakne lage ho
tumhaari ye baatein dukhaati hai dil ko
mujhe tum faqat ab ghalat se lage ho
मुझे कुछ नहीं तुम समझने लगे हो
गुज़रने ये कैसे भरम से लगे हो
बिछाते हो काँटें मेरे रास्तों में
ग़लत चाल तुम फिर से चलने लगे हो
तुम्हें लग रहा है कि मरने लगा हूँ
सो तुम अपनी मर्ज़ी चलाने लगे हो
मुझे बात पर तो हँसी आ रही है
दिखाने मुझे आँख क्यों ये लगे हो
हुआ जब अँधेरा सभी ओर से तो
बुझाने ये क्यों तुम मशाले लगे हो
समंदर को पीने का रखता हुनर मैं
मुझे तुम तो दरिया बताने लगे हो
मैं कहता रहा हूँ मेरे दोस्त तुमसे
ग़लत तुम बहुत ही बहकने लगे हो
तुम्हारी ये बातें दुखाती है दिल को
मुझे तुम फ़क़त अब ग़लत से लगे हो
As you were reading Shayari by Lalit Mohan Joshi
our suggestion based on Lalit Mohan Joshi
As you were reading undefined Shayari