ye aaina jab se bagaavat kar gaya
hissa mera khud se adavat kar gaya
ik umr se khaamosh lab hai ab mere
phir hijr se koii muhabbat kar gaya
qissa ye barbaadi sunaayein ab kise
har shakhs us patthar se sohbat kar gaya
dariya samandar se na yaari ab kare
vo naam apne sab vasiyat kar gaya
uske liye bas ab yahi tum sochna
mere raqeebon kii zamaanat kar gaya
mushkil bahut hai kaamil-e-fan hona to
vo to mukhalif se rafaqat kar gaya
ये आइना जब से बग़ावत कर गया
हिस्सा मेरा ख़ुद से अदावत कर गया
इक उम्र से ख़ामोश लब है अब मेरे
फिर हिज्र से कोई मुहब्बत कर गया
क़िस्सा ये बर्बादी सुनाएँ अब किसे
हर शख़्स उस पत्थर से सोहबत कर गया
दरिया समंदर से न यारी अब करे
वो नाम अपने सब वसीयत कर गया
उसके लिए बस अब यही तुम सोचना
मेरे रक़ीबों की ज़मानत कर गया
मुश्किल बहुत है कामिल-ए-फ़न होना तो
वो तो मुख़ालिफ़ से रफ़ाक़त कर गया
As you were reading Shayari by Lalit Mohan Joshi
our suggestion based on Lalit Mohan Joshi
As you were reading undefined Shayari